suraj ka karb
kyā koī din aisā bhī aayā hai jab sūraj ne
is dhartī par rahne vaale insānoñ meñ
bhed kiyā ho
apnī kirneñ ik maz.hab ke
ik jaatī ke
ik firqe ke
logoñ meñ phailā dī hoñ
kyā koī din aisā bhī aayā hai jab sūraj ne
bārish ke mausam meñ
bhīge jismoñ ko apnī bāhoñ meñ lene se inkār kiyā ho
kaale rangoñ vaale chehre noch liye hoñ
kyā koī din aisā bhī aayā hai jab sūraj ne
ūñche ūñche mahloñ meñ ārām kiyā ho
jhoñpaḌ-paTTī meñ rahne vāloñ ko badnām kiyā ho
shāyad aisā din aane se pahle sūraj apnī āñkheñ
vīrāne meñ pheñk aa.egā
aur apnī
āñkhoñ ke halqoñ meñ
patthar rakh legā
lekin is dhartī par rahne vaale insānoñ ne
mānavtā kā qatl kiyā hai
dharmoñ kā apmān kiyā hai
nafrat kā e'lān kiyā hai
insānoñ ne insānoñ par zulm kiye haiñ
nanhe nanhe bachchoñ ko nezoñ se zaḳhmī kar ke
un kā ḳhuun piyā hai
kitnī māñgoñ kā siñdūr khurach kar
ḳhvāboñ kī rā'nā.ī se mahrūm kiyā hai
kitne hāthoñ ko mehñdī lagne se pahle hī mā'dūm kiyā hai
kitne hī ghar ke sehnoñ ko
chhoTe chhoTe
ḳhānoñ meñ taqsīm kiyā hai
jhagḌoñ ko taslīm kiyā hai
lekin ab ham is dhartī par
koī zulm na hone deñge
ham ne apne hāthoñ meñ ab
ham ne apne hāthoñ meñ ab
amn kā parcham
thaam liyā hai
pyaar vafā kā
naam liyā hai
kya koi din aisa bhi aaya hai jab suraj ne
is dharti par rahne wale insanon mein
bhed kiya ho
apni kirnen ek mazhab ke
ek jati ke
ek firqe ke
logon mein phaila di hon
kya koi din aisa bhi aaya hai jab suraj ne
barish ke mausam mein
bhige jismon ko apni bahon mein lene se inkar kiya ho
kale rangon wale chehre noch liye hon
kya koi din aisa bhi aaya hai jab suraj ne
unche unche mahlon mein aaram kiya ho
jhonpaD-paTTi mein rahne walon ko badnam kiya ho
shayad aisa din aane se pahle suraj apni aankhen
virane mein phenk aaega
aur apni
aankhon ke halqon mein
patthar rakh lega
lekin is dharti par rahne wale insanon ne
manawta ka qatl kiya hai
dharmon ka apman kiya hai
nafrat ka e'lan kiya hai
insanon ne insanon par zulm kiye hain
nanhe nanhe bachchon ko nezon se zaKHmi kar ke
un ka KHun piya hai
kitni mangon ka sindur khurach kar
KHwabon ki ra'nai se mahrum kiya hai
kitne hathon ko mehndi lagne se pahle hi ma'dum kiya hai
kitne hi ghar ke sehnon ko
chhoTe chhoTe
KHanon mein taqsim kiya hai
jhagDon ko taslim kiya hai
lekin ab hum is dharti par
koi zulm na hone denge
hum ne apne hathon mein ab
hum ne apne hathon mein ab
amn ka parcham
tham liya hai
pyar wafa ka
nam liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.