talluq bojh ban jae to
ḳhvāboñ kī rā.egānī kā andāza kis ko hai
ab dil kī dhaḌkanoñ ko diyā jaa.e kyā maqām
mānind-e-sham’ shab jo pighaltī hai zindagī
kyā shab kī karbnākī se dil legā aur kaam
rāh-e-junūñ pe chal ke shab-o-roz kyā milā
phir Dar bhī hai ki mujh se ḳhirad legī intiqām
maiñ ne tasavvurāt kī duniyā bhī chhoḌ dī
maiñ ne kisī kī yaad ko ḳhud pe kiyā harām
ab to sabhī ḳhutūt bhī ātish kī nazr haiñ
ab to mujhe chiḌhāte haiñ tere sabhī payām
achchhā huā ki tum se ta'āruf nahīñ rahā
behtar yahī hai rishte hue haiñ sabhī harām
duniyā meñ kitne log haiñ jin kā koī nahīñ
mujh ko bhī jiinā chāhiye un logoñ kī tarah
KHwabon ki raegani ka andaza kis ko hai
ab dil ki dhaDkanon ko diya jae kya maqam
manind-e-sham’ shab jo pighalti hai zindagi
kya shab ki karbnaki se dil lega aur kaam
rah-e-junun pe chal ke shab-o-roz kya mila
phir Dar bhi hai ki mujh se KHirad legi intiqam
main ne tasawwuraat ki duniya bhi chhoD di
main ne kisi ki yaad ko KHud pe kiya haram
ab to sabhi KHutut bhi aatish ki nazr hain
ab to mujhe chiDhate hain tere sabhi payam
achchha hua ki tum se ta'aruf nahin raha
behtar yahi hai rishte hue hain sabhi haram
duniya mein kitne log hain jin ka koi nahin
mujh ko bhi jina chahiye un logon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.