Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tarikiyon ka hisab

Sahar Ansari

tarikiyon ka hisab

Sahar Ansari

MORE BYSahar Ansari

    nīm-ḳhvābīda bojhal subuk-sar huā

    shab āġhosh meñ daf.atan jaag uThī

    kasmasātī huī sar uThā ke chalī

    shab āġhosh se sard bojhal havā

    laḌkhaḌā ke chalī be-ḳhatar be-hazar

    chuur nashshe meñ yak-chashm ifrīt-e-shab

    aañkh surḳh golā.ī raushan kiye

    hai havā ke ta.āqub meñ har moḌ par

    kaun roke use kaun Toke use

    haiñ tazādoñ ke aaseb is shahr meñ

    naf.a o hirs o havas jabīnoñ ko bhī

    chāñd ke ruup meñ Dhālne ke liye

    dast-e-shab ne do-rūya imārāt par

    raushnī lakīroñ se likkhe haiñ naam

    shahr shāh-rāhoñ pe haiñ raqs meñ

    nīlgūñ surḳh piile hare dā.ere

    gaah jalte hue gaah bujhte hue

    har añdhere pe hai raushnī naqāb

    ik havā hai ki jis nigāhoñ meñ hai

    shahr ke dil tārīkiyoñ hisāb

    shahr ke shab-zada pairahan meñ kahīñ

    kahkashāñ tarah raushnī to nahīñ

    pairahan meñ syāhī ke har daaġh par

    raushnī lakīroñ ke paivand meñ

    aur is shahr ke dil qindīl par

    raushnī lakīroñ ke dar band haiñ

    nim-KHwabida bojhal subuk-sar hua

    shab ki aaghosh mein dafatan jag uThi

    kasmasati hui sar uTha ke chali

    shab ki aaghosh se sard bojhal hawa

    laDkhaDa ke chali be-KHatar be-hazar

    chur nashshe mein yak-chashm ifrit-e-shab

    aankh ki surKH golai raushan kiye

    hai hawa ke taaqub mein har moD par

    kaun roke use kaun Toke use

    hain tazadon ke aaseb is shahr mein

    nafa o hirs o hawas ki jabinon ko bhi

    chand ke rup mein Dhaalne ke liye

    dast-e-shab ne do-ruya imaraat par

    raushni ki lakiron se likkhe hain nam

    shahr ki shah-rahon pe hain raqs mein

    nilgun surKH pile hare daere

    gah jalte hue gah bujhte hue

    har andhere pe hai raushni ka naqab

    ek hawa hai ki jis ki nigahon mein hai

    shahr ke dil ki tarikiyon ka hisab

    shahr ke shab-zada pairahan mein kahin

    kahkashan ki tarah raushni to nahin

    pairahan mein syahi ke har dagh par

    raushni ki lakiron ke paiwand mein

    aur is shahr ke dil ki qindil par

    raushni ki lakiron ke dar band hain

    Source:

    namuud (Pg. 148)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now