Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talash

Amn Lakhnavi

talash

Amn Lakhnavi

MORE BYAmn Lakhnavi

    chand kho.e hue lamhāt ko kartā huuñ talāsh

    aur vo milte nahīñ ālam-e-bedārī meñ

    ālam-e-ḳhvāb ko kahte haiñ haqīqat ke ḳhilāf

    kashmakash hai bapā ġhaflat o hushyārī meñ

    chand kho.e hue lamhāt ko kartā huuñ talāsh

    kabhī shahroñ kabhī qaryoñ kabhī vīrāne meñ

    thak ke baiThā huuñ to detā huuñ tasallī dil ko

    hoñge mahfūz kisī dil ke siyah-ḳhāne meñ

    chand kho.e hue afkār ko kartā huuñ talāsh

    jaane mahfūz haiñ vo zehn ke kis kone meñ

    mere afkār to haiñ juzv mirī hastī ke

    ḳhud bhī maiñ kho gayā 'amn' unheñ khone meñ

    chand kho.e hue ahbāb ko kartā huuñ talāsh

    ālam-e-āb-o-gil ab un pata kyā degā

    haañ agar had se baḌhā jazba-e-dil ai hamdam

    shauq-e-nazzāra unhīñ tak mujhe pahūñchā degā

    chand khoe hue lamhat ko karta hun talash

    aur wo milte nahin aalam-e-bedari mein

    aalam-e-KHwab ko kahte hain haqiqat ke KHilaf

    kashmakash si hai bapa ghaflat o hushyari mein

    chand khoe hue lamhat ko karta hun talash

    kabhi shahron kabhi qaryon kabhi virane mein

    thak ke baiTha hun to deta hun tasalli dil ko

    honge mahfuz kisi dil ke siyah-KHane mein

    chand khoe hue afkar ko karta hun talash

    jaane mahfuz hain wo zehn ke kis kone mein

    mere afkar to hain juzw meri hasti ke

    KHud bhi main kho sa gaya 'amn' unhen khone mein

    chand khoe hue ahbab ko karta hun talash

    aalam-e-ab-o-gil ab un ka pata kya dega

    han agar had se baDha jazba-e-dil ai hamdam

    shauq-e-nazzara unhin tak mujhe pahuncha dega

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Amn Lakhnavi

    Amn Lakhnavi

    Source:

    (Pg. 114)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now