tamam KHwab mohabbat ke nam kar dunga
jahāñ pe ḳhvāb rakhe haiñ
usī darīche se
tire vujūd se mub.ham sī raushnī le kar
Thahar Thahar ke koī ḳhvāb jhāñktā hai mujhe
tavīl raat kī sarhad ke dūsrī jānib
chamakte din kī bashārat meñ Dhāltā hai mujhe
maiñ ḳhāk-o-ḳhūn meñ āñkhoñ meñ harf-e-kun kī tarah
sahar se pahle kahīñ rū-pazīr hotā huuñ
zamīñ pe sīna-ba-sīna
diloñ ke zīnoñ par
charāġh-o-ḳhvāb sajātā huuñ avvalīñ sub.h meñ
ḳhudī ko raah dikhātā huuñ maiñ kahīñ ḳhud meñ
jahāñ pe ḳhvāb rakhe haiñ usī darīche se
kuchh ahl-e-husn
mohabbat ke ḳhvāb laa.e haiñ
mujāvirān-e-rah-e-dasht aab laa.e haiñ
aur ahl-e-harf vahāñ se kitāb laa.e haiñ
vo jis kā saf.ha-ba-saf.ha
vo jis kī satr-ba-satr
charāġh-e-'ishq kī lau se likhī ga.ī hai faqat
tire vujūd se mub.ham sī
raushnī le kar
maiñ us kitāb ko duniyā meñ 'aam kar dūñgā
tamām ḳhvāb mohabbat ke naam kar dūñgā
jahan pe KHwab rakhe hain
usi dariche se
tere wujud se mubham si raushni le kar
Thahar Thahar ke koi KHwab jhankta hai mujhe
tawil raat ki sarhad ke dusri jaanib
chamakte din ki bashaarat mein Dhaalta hai mujhe
main KHak-o-KHun mein aankhon mein harf-e-kun ki tarah
sahar se pahle kahin ru-pazir hota hun
zamin pe sina-ba-sina
dilon ke zinon par
charagh-o-KHwab sajata hun awwalin subh mein
KHudi ko rah dikhata hun main kahin KHud mein
jahan pe KHwab rakhe hain usi dariche se
kuchh ahl-e-husn
mohabbat ke KHwab lae hain
mujaviran-e-rah-e-dasht aab lae hain
aur ahl-e-harf wahan se kitab lae hain
wo jis ka safha-ba-safha
wo jis ki satr-ba-satr
charagh-e-'ishq ki lau se likhi gai hai faqat
tere wujud se mubham si
raushni le kar
main us kitab ko duniya mein 'am kar dunga
tamam KHwab mohabbat ke nam kar dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.