tanhai
bārish ke mausam meñ
kaliyoñ ke lab
khul jaate haiñ
peḌoñ ke patte dhul jaate haiñ
kitnī āñkheñ
aisī rut kā svāgat karne
darvāzoñ par aa jaatī haiñ
kitne hāthoñ kī dhuñdlī dhuñdlī
rekhā.eñ
chamkīlī ho jaatī haiñ
kitne hī sūkhe hoñToñ kī
ḳhushk du'ā.eñ
giilī ho jaatī haiñ
kitne hī jismoñ kī tahzībeñ
nange sar
bāhar aa jaatī haiñ
kitnī hī suunī rātoñ kī māñgoñ meñ
tāroñ kī
bārāteñ sajne lagtī haiñ
kitne āñgan
shahnā.ī se guuñj uThte haiñ
lekin tum ne apne ghar ke
darvāzoñ par
gahre gahre moTe moTe
kaale parde
Daal rakhe haiñ
barish ke mausam mein
kaliyon ke lab
khul jate hain
peDon ke patte dhul jate hain
kitni aankhen
aisi rut ka swagat karne
darwazon par aa jati hain
kitne hathon ki dhundli dhundli
rekhaen
chamkili ho jati hain
kitne hi sukhe honTon ki
KHushk du'aen
gili ho jati hain
kitne hi jismon ki tahziben
nange sar
bahar aa jati hain
kitni hi suni raaton ki mangon mein
taron ki
baraaten sajne lagti hain
kitne aangan
shahnai se gunj uThte hain
lekin tum ne apne ghar ke
darwazon par
gahre gahre moTe moTe
kale parde
Dal rakhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.