Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taqwa

MORE BYNomaan Shauque

    bahut ayyār the vo log

    vo saarā din ḳhudā ko yaad karte

    masjidoñ meñ jaate

    rote giḌgiḌāte aur tasbīheñ paḌhā karte

    zamāna mo'taqid thā is qadar un

    vo jab bāhar nikalte

    log un ke rāste gard ko

    apne amāmoñ se haTāte the

    un ḳhātir ḳhvān par nemat sajāte the

    magar

    jab raat aatī aur andhere har dar o dīvār par

    ḳheme apne nasab kar lete

    dākuoñ bhes

    luuT lete aabrū

    maal o zar laal o guhar

    aur phir vo sub.h-dam

    sidq o safā dars dete

    aur sabr-o-razā shahr ko talqīn karte

    aur phir masrūf ho jaate

    ibādat meñ vo apnī

    unheñ shaddād jannat

    ilāhī razā se chāhiye thī

    bahut ayyar the wo log

    wo sara din KHuda ko yaad karte

    masjidon mein jate

    rote giDgiDate aur tasbihen paDha karte

    zamana mo'taqid tha is qadar un ka

    wo jab bahar nikalte

    log un ke raste ki gard ko

    apne amamon se haTate the

    un ki KHatir KHwan par nemat sajate the

    magar

    jab raat aati aur andhere har dar o diwar par

    KHeme apne nasab kar lete

    dakuon ka bhes

    luT lete aabru

    mal o zar lal o guhar

    aur phir wo subh-dam

    sidq o safa ka dars dete

    aur sabr-o-raza ki shahr ko talqin karte

    aur phir masruf ho jate

    ibaadat mein wo apni

    unhen shaddad ki jannat

    ilahi ki raza se chahiye thi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    taqwa Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now