tashwish
aaj āñkhoñ meñ tumhārī ye udāsī kyoñ hai
dil laraztā hai mirā dekh ke māyūs tumheñ
dhaḌkaneñ dil kī bahut tez huī jaatī haiñ
ye pareshān nazar aur ye vīrāñ āñkheñ
mere haq meñ to sitam-ḳhez huī jaatī haiñ
ho na ho dil pe tumhāre koī aafat aa.ī
baat kyā hai jise kahte hue ruk jaatī ho
mujh se ġham apnā chhupā lene kī koshish meñ tum
aur bhī mujh ko pareshān nazar aatī ho
kyā tumheñ mujh se bichhaḌne kā ḳhayāl aayā hai
aisī bātoñ ko kabhī dil meñ na aane denā
maiñ kabhī tum se bichhaḌ jā.ūñ ye mumkin hī nahīñ
aaj tum mujh se tumhārī hī qasam le lenā
aaj āñkhoñ meñ tumhārī ye udāsī kyoñ hai
aaj aankhon mein tumhaari ye udasi kyon hai
dil larazta hai mera dekh ke mayus tumhein
dhaDkanen dil ki bahut tez hui jati hain
ye pareshan nazar aur ye viran aankhen
mere haq mein to sitam-KHez hui jati hain
ho na ho dil pe tumhaare koi aafat aai
baat kya hai jise kahte hue ruk jati ho
mujh se gham apna chhupa lene ki koshish mein tum
aur bhi mujh ko pareshan nazar aati ho
kya tumhein mujh se bichhaDne ka KHayal aaya hai
aisi baaton ko kabhi dil mein na aane dena
main kabhi tum se bichhaD jaun ye mumkin hi nahin
aaj tum mujh se tumhaari hi qasam le lena
aaj aankhon mein tumhaari ye udasi kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.