taufiq
dakan ye 'qutb-qulī 'vaj.hī'-o-'valī' kā dakan
dakan ye satvat-e-shāhān 'āsafī' kā dakan
isī zamīñ se sharāre hazār phūTe haiñ
isī falak pe sitāre hazār TuuTe haiñ
ye san'atoñ kī zamīñ 'ilm-o-fan kā gahvāra
chaman adab kā ye she'r-o-suḳhan kā gahvāra
har ek daur meñ ik bā-kamāl hotā hai
hunar meñ aap vo apnī misāl hotā hai
yahīñ pe hazrat-e-'taufīq' ne bhī janm liyā
ufuq se she'r-o-suḳhan ke ik āftāb uThā
vo apne vaqt ke ik bā-kamāl shā'ir the
ġhalat nahīñ jo kahūñ bā-kamāl shā'ir the
ġhazal ko 'momin'-o-'ġhālib' kā bāñkpan de kar
kahī hai nazm bhī 'iqbāl' ke qarīne par
vo ābrū-e-chaman ‘izzat-e-dakan 'taufīq'
bajā hai kahiye agar 'ġhālib'-e-dakan 'taufīq'
dakan ye 'qutb-quli 'wajhi'-o-'wali' ka dakan
dakan ye satwat-e-shahan 'asafi' ka dakan
isi zamin se sharare hazar phuTe hain
isi falak pe sitare hazar TuTe hain
ye san'aton ki zamin 'ilm-o-fan ka gahwara
chaman adab ka ye she'r-o-suKHan ka gahwara
har ek daur mein ek ba-kamal hota hai
hunar mein aap wo apni misal hota hai
yahin pe hazrat-e-'taufiq' ne bhi janm liya
ufuq se she'r-o-suKHan ke ek aaftab uTha
wo apne waqt ke ek ba-kamal sha'ir the
ghalat nahin jo kahun ba-kamal sha'ir the
ghazal ko 'momin'-o-'ghaalib' ka bankpan de kar
kahi hai nazm bhi 'iqbaal' ke qarine par
wo aabru-e-chaman ‘izzat-e-dakan 'taufiq'
baja hai kahiye agar 'ghaalib'-e-dakan 'taufiq'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.