Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Thahre hue mausam ki ek nazm

Asghar Nadeem Syed

Thahre hue mausam ki ek nazm

Asghar Nadeem Syed

MORE BYAsghar Nadeem Syed

    kabhī muñh se āvāz hāthoñ se qismat aur āñkhoñ se pahlī masarrat paanī gire

    to use mat uThānā

    kabhī raat shaal se chāñd sāloñ muTThī se ḳhushbū zamīnoñ jholī se ḳhurāk

    aur dil se qurbat ḳhvāhish gire

    to use uThānā

    kabhī shaam ke ghoñsle se parinda fajr se ibādat choġhā pahāḌoñ se

    sarmā pahlā meñh gire

    to use mat uThānā

    kabhī āsmānoñ se harf-e-munājāt shāhīn āñkhoñ se aañsū havāoñ

    se lambe safar hikāyat

    ġhulāmoñ ke dāman se āzād sub.hoñ saa.at gire

    to use mat uThānā

    kabhī paañv se hausla aam ke peḌ se baur bachchoñ muTThī se lorī aur fasloñ pe

    phailī huī dhuup kaT kar gire

    to use mat uThānā

    nigāh apne dushman pe rakhnā

    safar ko amānat samajhnā

    aur a.asāb jhukne na denā

    ki sab chīzeñ apne se behtar ko apnī jagah de ga.ī haiñ

    kabhi munh se aawaz hathon se qismat aur aankhon se pahli masarrat ka pani gire

    to use mat uThana

    kabhi raat ki shaal se chand salon ki muTThi se KHushbu zaminon ki jholi se KHurak

    aur dil se qurbat ki KHwahish gire

    to use uThana

    kabhi sham ke ghonsle se parinda fajr se ibaadat ka chogha pahaDon se

    sarma ka pahla meinh gire

    to use mat uThana

    kabhi aasmanon se harf-e-munajat shahin ki aankhon se aansu hawaon

    se lambe safar ki hikayat

    ghulamon ke daman se aazad subhon ki saat gire

    to use mat uThana

    kabhi panw se hausla aam ke peD se baur bachchon ki muTThi se lori aur faslon pe

    phaili hui dhup kaT kar gire

    to use mat uThana

    nigah apne dushman pe rakhna

    safar ko amanat samajhna

    aur aasab jhukne na dena

    ki sab chizen apne se behtar ko apni jagah de gai hain

    Source:

    adhuri kulliyaat (Pg. 115)

    • Author: asGar nadeem sayyad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now