Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Thik hai shahr mein

Mohammad Ahmad

Thik hai shahr mein

Mohammad Ahmad

MORE BYMohammad Ahmad

    Thiik hai shahr meñ

    qatl-o-ġhārat-garī na.ī lahar hai

    par na.ī baat kyā

    ye to ma.amūl hai

    Thiik hai ki ka.ī be-gunāh

    aag aur ḳhuun ke khel meñ zindagī haar kar

    jiine vāloñ ke bhī hausle le ga.e

    aur pasmāñdgāñ dekhte rah ga.e

    ye bhī ma.amūl hai

    shahr ab phir se masrūf-o-mashġhūl hai

    Thiik hai ki sitam kaalī āñdhī mānind chhāyā rahā

    kitnī sub.hoñ pe zulmat saaya rahā

    kitne din tak havā nauha-ḳhvānī ḳhvāhish meñ ghuTtī rahī

    aur dhartī ke siine se kitne dinoñ huuk uThtī rahī

    kitne din se yahāñ āfiyat chaman ḳhaak hai dhuul hai

    Thiik hai ki pas-e-pusht rakhe hue ḳhūn-ālūd haath

    merā rahbar thā jo mohabbat parchār kartā rahā

    dil dil meñ kahīñ muskurātā rahā

    aur naqāb apne chehre par oḌhe hue

    marne vāloñ mātam bhī kartā rahā

    ye nifāq-e-tarahdār-e-ahl-e-sitam to rivāyat meñ sadiyoñ se manqūl hai

    aur ma.amūl hai

    par mujhe kyā paḌī

    haañ mujhe kyā paḌī

    ki maiñ sochūñ yahāñ kaun zālim hai aur kaun mazlūm hai

    kaun qātil hai aur kaun maqtūl hai

    jis pe golī chalī vo mirā sar na thā

    aag jis ko lagī vo mirā ghar na thā

    phir mujhe kyā paḌī

    haañ mujhe kyā paḌī ki maiñ sochūñ jo bastī meñ uftād hai kis ījād hai

    merā dil apnī duniyā meñ mashġhūl hai

    merī duniyā meñ sab hasb-e-ma.amūl hai

    Thik hai shahr mein

    qatl-o-ghaarat-gari ki nai lahar hai

    par nai baat kya

    ye to mamul hai

    Thik hai ki kai be-gunah

    aag aur KHun ke khel mein zindagi haar kar

    jine walon ke bhi hausle le gae

    aur pasmandgan dekhte rah gae

    ye bhi mamul hai

    shahr ab phir se masruf-o-mashghul hai

    Thik hai ki sitam kali aandhi ki manind chhaya raha

    kitni subhon pe zulmat ka saya raha

    kitne din tak hawa nauha-KHwani ki KHwahish mein ghuTti rahi

    aur dharti ke sine se kitne dinon huk uThti rahi

    kitne din se yahan aafiyat ka chaman KHak hai dhul hai

    Thik hai ki pas-e-pusht rakhe hue KHun-alud hath

    mera rahbar hi tha jo mohabbat ka parchaar karta raha

    dil hi dil mein kahin muskuraata raha

    aur naqab apne chehre par oDhe hue

    marne walon ka matam bhi karta raha

    ye nifaq-e-tarahdar-e-ahl-e-sitam to riwayat mein sadiyon se manqul hai

    aur mamul hai

    par mujhe kya paDi

    han mujhe kya paDi

    ki main sochun yahan kaun zalim hai aur kaun mazlum hai

    kaun qatil hai aur kaun maqtul hai

    jis pe goli chali wo mera sar na tha

    aag jis ko lagi wo mera ghar na tha

    phir mujhe kya paDi

    han mujhe kya paDi ki main sochun jo basti mein uftad hai kis ki ijad hai

    mera dil apni duniya mein mashghul hai

    meri duniya mein sab hasb-e-mamul hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now