Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Tipu

MORE BYArsh Malsiyani

    uThā vo ḳhāk-e-srinigāpatam se mard-e-jarī

    bidesiyoñ hukūmat thī larza-bar-andām

    vo avvalīn mujāhid ki jis ne farmāyā

    rahegā hind na hargiz firañgiyoñ ġhulām

    paḌhā.ī ahl-e-vatan ko namāz-e-āzādī

    sikhā.e jis ne hameñ us ke sab sujūd-o-qayām

    banā.e tarz-navī jis ne thī mustahkam

    badal ke rakh diyā jis ne qadāmatoñ nizām

    falāh-e-qaum jis ne kiyā buland alam

    rahī thī jis ko muqaddam hamesha ḳhair-e-anām

    vo jāñ-farosh dulārā dakkan ke haidar

    jo apnī zaat se ḳhud thā mujāhidoñ imaam

    kahā ye jis ne ki ahl-e-vatan hai ye vatan

    na ġhāsiboñ na aġhyār hai koī maqām

    gavāh azmat-e-Tīpū hai rūd-e-kaveri

    yahīñ huā thā nabard-āzmā vo ḳhush-farjām

    shahīd use detī hai martaba tārīḳh

    ba-kesh-e-sidq-o-safā hai yahī baḌā in.aam

    azal se baat chalī aa.ī hai zamāne meñ

    jo nek bande haiñ hotā hai un nek anjām

    manār-e-masjid-e-jāme se de rahā huuñ sadā

    dakan ḳhaak ke zarro tumheñ hazār salām

    uTha wo KHak-e-srinigapatam se mard-e-jari

    bidesiyon ki hukumat thi larza-bar-andam

    wo awwalin mujahid ki jis ne farmaya

    rahega hind na hargiz firangiyon ka ghulam

    paDhai ahl-e-watan ko namaz-e-azadi

    sikhae jis ne hamein us ke sab sujud-o-qayam

    banae tarz-nawi jis ne ki thi mustahkam

    badal ke rakh diya jis ne qadamaton ka nizam

    falah-e-qaum ka jis ne kiya buland alam

    rahi thi jis ko muqaddam hamesha KHair-e-anam

    wo jaan-farosh dulara dakkan ke haidar ka

    jo apni zat se KHud tha mujahidon ka imam

    kaha ye jis ne ki ahl-e-watan ka hai ye watan

    na ghasibon ka na aghyar ka hai koi maqam

    gawah azmat-e-Tipu hai rud-e-kaweri

    yahin hua tha nabard-azma wo KHush-farjam

    shahid ka use deti hai martaba tariKH

    ba-kesh-e-sidq-o-safa hai yahi baDa inam

    azal se baat chali aai hai zamane mein

    jo nek bande hain hota hai un ka nek anjam

    manar-e-masjid-e-jame se de raha hun sada

    dakan ki KHak ke zarro tumhein hazar salam

    Source:

    Sharar-e-sang (Pg. 49 )

    • Author: Arsh Malsiyani
      • Edition: 1967
      • Publisher: Markaz Tasneef-o-Talif, Nikodar
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now