teri duniya ke naqshe mein
tirī duniyā meñ jañgal haiñ
hare bāġhāt haiñ
aur duur tak phaile bayābāñ haiñ
kahīñ par bastiyāñ haiñ
raushnī ke mantaqe haiñ
pahāḌoñ par utarte bādaloñ meñ
raqs kartā hai samundar chār-sū
isī amboh kā hissa nahīñ huuñ maiñ
kahāñ huuñ maiñ
maiñ tere lams se ik aag ban kar phailnā
tasḳhīr kī sūrat bipharnā chāhtā thā
aur itrā huuñ
kisī be-mehr sannāTe ke maidāñ meñ
hazīmat kī dahaktī ret par
bikhrā paḌā huuñ shaam kī sūrat
maiñ jiinā chāhtā thā terī duniyā meñ
tire hoñToñ pe khilte naam kī sūrat
kahīñ dushnām kī sūrat
kahīñ ārām kī sūrat
maiñ aañsū thā
tire chehre pe aa kar phuul dhartā thā
tire dukh par
girā kartā thā qadmoñ meñ
ai chashm-e-tar kahāñ huuñ maiñ
añdhere se bharī āñkhoñ meñ
chaltī hai havā har-sū
aur uḌte jā rahe haiñ rāste us meñ
zamānoñ ke kināroñ se
abad ke sard ḳhānoñ tak
havā chaltī hai har-sū
aur us kī ham-rahī meñ
do-qadam chaltā nahīñ huuñ maiñ
hujūm-e-roz-o-shab meñ
kis jagah sahmā huā huuñ maiñ
kahāñ huuñ maiñ
tirī duniyā ke naqshe meñ
kahāñ huuñ maiñ
teri duniya mein jangal hain
hare baghat hain
aur dur tak phaile bayaban hain
kahin par bastiyan hain
raushni ke mantaqe hain
pahaDon par utarte baadalon mein
raqs karta hai samundar chaar-su
isi amboh ka hissa nahin hun main
kahan hun main
main tere lams se ek aag ban kar phailna
tasKHir ki surat bipharna chahta tha
aur itra hun
kisi be-mehr sannaTe ke maidan mein
hazimat ki dahakti ret par
bikhra paDa hun sham ki surat
main jina chahta tha teri duniya mein
tere honTon pe khilte nam ki surat
kahin dushnam ki surat
kahin aaram ki surat
main aansu tha
tere chehre pe aa kar phul dharta tha
tere dukh par
gira karta tha qadmon mein
ai chashm-e-tar kahan hun main
andhere se bhari aankhon mein
chalti hai hawa har-su
aur uDte ja rahe hain raste us mein
zamanon ke kinaron se
abad ke sard KHanon tak
hawa chalti hai har-su
aur us ki ham-rahi mein
do-qadam chalta nahin hun main
hujum-e-roz-o-shab mein
kis jagah sahma hua hun main
kahan hun main
teri duniya ke naqshe mein
kahan hun main
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 31)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.