titanic
dabistān-e-urdu ke gahre samundar kī
tah meñ se ik din
mirī nazm ġhota-zanoñ ko milegī
vahī nazm jo maiñ ne tum par likhī hai
phir us nazm ke rāste log ham tak pahuñchne lageñge
tumheñ bhī tasavvur meñ laane lageñge
mujhe bhī tasavvur meñ laane lageñge
phir ik din
hamārī kahānī pe filmeñ baneñgī
mohabbat ke raste meñ
chāhe samājī ma'āshī
yā diinī masā.il ke
tuude tabāhī machā deñ
maiñ har film ke āḳhirī scene meñ
tum ko zinda rakhūñgā
bhale mere siine meñ
barfīle lafzoñ kī tah jam chukī ho
maiñ phir bhī tumhāre liye saañs lūñgā
maiñ nazmeñ likhūñgā
maiñ tum se mohabbat nibhātā rahūñgā
tumheñ Dūbne se bachātā rahūñgā
dabistan-e-urdu ke gahre samundar ki
tah mein se ek din
meri nazm ghota-zanon ko milegi
wahi nazm jo main ne tum par likhi hai
phir us nazm ke raste log hum tak pahunchne lagenge
tumhein bhi tasawwur mein lane lagenge
mujhe bhi tasawwur mein lane lagenge
phir ek din
hamari kahani pe filmen banengi
mohabbat ke raste mein
chahe samaji ma'ashi
ya dini masail ke
tude tabahi macha den
main har film ke aaKHiri scene mein
tum ko zinda rakhunga
bhale mere sine mein
barfile lafzon ki tah jam chuki ho
main phir bhi tumhaare liye sans lunga
main nazmen likhunga
main tum se mohabbat nibhata rahunga
tumhein Dubne se bachata rahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.