titli
kyā huā hai ai sākinān-e-chaman
kyoñ fazā.eñ huiiñ tamāshā.ī
tum to kahte the fasl-e-gul aa.ī
phir ye gulshan udaas kyoñ hai aaj
yuuñ fasurda bahār kyoñ hai aaj
vo vahāñ duur zard Tahnī par
ik parinda udaas baiThā hai
ek bhañvrā guloñ ko jā jā kar
ranj-o-ġham kā payām detā hai
suur phūñkā hai kyā havāoñ ne
is qadar shor kyoñ fazāoñ meñ
mātamoñ kī sadā.eñ aatī haiñ
bulbuleñ kis kā nauha gaatī haiñ
kaisī qaus-e-quzah yahāñ bikhrī
nīm-murda paḌī hai ik titlī
aah ye dil-nashīñ hasīñ paikar
kis ne marne ko tanhā chhoḌ diyā
khiltī kaliyoñ kī narm pattī ko
kis ne vahshat meñ aa ke toḌ diyā
sabz shāḳhoñ pe ye lahū kyoñ hai
in havāoñ meñ ḳhuun kī bū hai
taaza phūloñ pe surḳh chhīñTe haiñ
kis ne titlī ke pankh noche haiñ
kya hua hai ai sakinan-e-chaman
kyon fazaen huin tamashai
tum to kahte the fasl-e-gul aai
phir ye gulshan udas kyon hai aaj
yun fasurda bahaar kyon hai aaj
wo wahan dur zard Tahni par
ek parinda udas baiTha hai
ek bhanwra gulon ko ja ja kar
ranj-o-gham ka payam deta hai
sur phunka hai kya hawaon ne
is qadar shor kyon fazaon mein
matamon ki sadaen aati hain
bulbulen kis ka nauha gati hain
kaisi qaus-e-quzah yahan bikhri
nim-murda paDi hai ek titli
aah ye dil-nashin hasin paikar
kis ne marne ko tanha chhoD diya
khilti kaliyon ki narm patti ko
kis ne wahshat mein aa ke toD diya
sabz shaKHon pe ye lahu kyon hai
in hawaon mein KHun ki bu hai
taza phulon pe surKH chhinTe hain
kis ne titli ke pankh noche hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.