Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tulsidas ji

MORE BYTakmiil Rizvi Lakhnavi

    vo tulsīdās jis ne ilm dariyā bahāyā thā

    vo tulsīdās jis ne ġhair ko apnā banāyā thā

    vo tulsīdās jo duniyā meñ sūraj ban ke chhāyā thā

    vo tulsīdās jo ġham-ḳhvāriyoñ meñ muskurāyā thā

    ḳhulūs-e-dil se maiñ us ko aqīdat pesh kartā huuñ

    mire pesh-e-nazar ab tak mizāj-e-hukmrānī hai

    bahut uljhī huī us daur-e-māzī kahānī hai

    magar tulsī azmat dost dushman sab ne maanī hai

    vo rāmā.en likhnā shāhkār-e-zindagānī hai

    maiñ us insān-e-kāmil ko mohabbat pesh kartā huuñ

    ye jo kuchh kah rahā huuñ maiñ haqīqat haqīqat hai

    lab-o-lahja shīrīnī mohabbat alāmat hai

    vo aalim ho ki jāhil aaj har dil par hukūmat hai

    nazar-andāz karnā us rāhoñ ko qayāmat hai

    maiñ apnī bazm meñ is zarūrat pesh kartā huuñ

    vo tulsī jis goyā.ī suḳhan sar-bulandī hai

    suḳhan sar-bulandī fikr-o-fan sar-bulandī hai

    gul-e-rangīñ vo hai jis se chaman sar-bulandī hai

    usī sar-bulandī se vatan sar-bulandī hai

    maiñ ehsās-e-vaqār-e-mulk-o-millat pesh kartā huuñ

    vo tulsī jis rāmā.en ik ik scene gulshan hai

    vo tulsī jis duniyā-e-adab meñ naam raushan hai

    vo ik aalim hai ik sāhib-nazar hai māhir-e-fan hai

    vo apne daur homer hai firdausī hai milTon hai

    maiñ ai 'takmīl' use apnī riyāzat pesh kartā huuñ

    wo tulsidas jis ne ilm ka dariya bahaya tha

    wo tulsidas jis ne ghair ko apna banaya tha

    wo tulsidas jo duniya mein suraj ban ke chhaya tha

    wo tulsidas jo gham-KHwariyon mein muskuraya tha

    KHulus-e-dil se main us ko aqidat pesh karta hun

    mere pesh-e-nazar ab tak mizaj-e-hukmrani hai

    bahut uljhi hui us daur-e-mazi ki kahani hai

    magar tulsi ki azmat dost dushman sab ne mani hai

    wo ramaen ka likhna shahkar-e-zindagani hai

    main us insan-e-kaamil ko mohabbat pesh karta hun

    ye jo kuchh kah raha hun main haqiqat hi haqiqat hai

    lab-o-lahja ki shirini mohabbat ki alamat hai

    wo aalim ho ki jahil aaj har dil par hukumat hai

    nazar-andaz karna us ki rahon ko qayamat hai

    main apni bazm mein is ki zarurat pesh karta hun

    wo tulsi jis ki goyai suKHan ki sar-bulandi hai

    suKHan ki sar-bulandi fikr-o-fan ki sar-bulandi hai

    gul-e-rangin wo hai jis se chaman ki sar-bulandi hai

    usi ki sar-bulandi se watan ki sar-bulandi hai

    main ehsas-e-waqar-e-mulk-o-millat pesh karta hun

    wo tulsi jis ki ramaen ka ek ek scene gulshan hai

    wo tulsi jis ka duniya-e-adab mein nam raushan hai

    wo ek aalim hai ek sahib-nazar hai mahir-e-fan hai

    wo apne daur ka homer hai firdausi hai milTon hai

    main ai 'takmil' use apni riyazat pesh karta hun

    Source:

    Meer-e-Karwan (Pg. 36)

    • Author: Takmiil Rizvi Lakhnavi
      • Publisher: Takmiil Rizvi Lakhnavi
      • Year of Publication: 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now