Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum ja chuki ho

Zahid Imroz

tum ja chuki ho

Zahid Imroz

MORE BYZahid Imroz

    merā dil der tak so.e hue muñh baas thā

    jahāñ tum ḳhud-rav phuul ban kar khil uThī thiiñ

    tumhārā munavvar vajūd

    merī tārīk ruuh meñ sarmā dhuup banā

    tumhārī āñkhoñ namī se ka.ī bahāroñ ne ḳhumār piyā

    jūtoñ se girī miTTī se bane mere haath

    tumhārī tarāshīda golā.iyoñ se mil kar

    jannat jhiil ban ga.e

    tumhāre siine se phūTtī ābshār mausīqī ne

    merī zaḳhmī samā.at ko surīlā giit banā diyā

    mere banjar taḳhayyul meñ jahāñ jahāñ tumhāre qadam lage

    vahāñ maiñ na.ī duniyā ban kar taḳhlīq huā

    ab tum chukī ho

    mere āñsuoñ nadī

    ek Tahnī ko bhī shajar nahīñ kar sakī

    mere irādoñ shabnam

    ek koñpal ko bhī phuul nahīñ kar sakī

    samjhaute bheḌiyā

    mere zarre zarre se tumheñ noch rahā hai

    aur udāsī Dūbte sūraj āḳhirī kiran ban kar

    mere kandhoñ par añdhere chādar Daal rahī hai

    mera dil der tak soe hue munh ki bas tha

    jahan tum KHud-raw phul ban kar khil uThi thin

    tumhaara munawwar wajud

    meri tarik ruh mein sarma ki dhup bana

    tumhaari aankhon ki nami se kai bahaaron ne KHumar piya

    juton se giri miTTi se bane mere hath

    tumhaari tarashida golaiyon se mil kar

    jannat ki jhil ban gae

    tumhaare sine se phuTti aabshaar ki mausiqi ne

    meri zaKHmi samaat ko surila git bana diya

    mere banjar taKHayyul mein jahan jahan tumhaare qadam lage

    wahan main nai duniya ban kar taKHliq hua

    ab tum ja chuki ho

    mere aansuon ki nadi

    ek Tahni ko bhi shajar nahin kar saki

    mere iradon ki shabnam

    ek konpal ko bhi phul nahin kar saki

    samjhaute ka bheDiya

    mere zarre zarre se tumhein noch raha hai

    aur udasi Dubte suraj ki aaKHiri kiran ban kar

    mere kandhon par andhere ki chadar Dal rahi hai

    Source:

    Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 561)

    • Author: Naseer Ahmed Nasir
      • Edition: Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
      • Publisher: H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi
      • Year of Publication: Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now