tumhaara ajnabi
tumhāre shahr meñ vo pā-barahna ajnabī
tulū'-e-āftāb ke liye
shab-e-garāñ ke rāstoñ se
ḳhāmushī ke dasht se guzar gayā
nidā-e-muntazir kī chashm-e-ḳhud-adā meñ
sub.h-dam utar gayā
darīche jab khule
tumhārā shahr raushnī meñ maujzan thā duur tak
tulū'-e-āftāb
rang-o-bū kā kārvāñ liye hue
safīna-e-adā-e-nūr-e-kāmrāñ liye hue
hasīn āñchaloñ ke lahlahāte bādbāñ liye hue
har ek rahguzar pe aise chhā gayā
masarratoñ mohabbatoñ hasīn muskurāhaToñ kī jannateñ luTā gayā
tulū'-e-āftāb barg-e-surḳh thā
vo ajnabī tumhāre shahr meñ vo be-zabān ajnabī
magar fishār-e-tīrgī kī sard ḳhaak zard dhund kā
muhīb marg-āshnā sā zā.iqa
na jaane kyoñ lab-o-zabāñ pe jism-o-jāñ pe jheltā rahā
na jaane kyoñ vo marg-o-zindagī ke zer-o-bam se kheltā rahā
tumhārā ajnabī tumhāre shahr meñ
agarche rū-ba-rū thā manzar-e-tulū'-e-āftāb ke
tumhārā rū-e-zar-nigār
ḳhūb-tar hasīn-tar thā garche manzar-e-tulū-e-āftāb se
magar tumhārā rū-e-zar-nigār
rauzan-e-dayār-e-dīd kī hadoñ se aaj māvarā rahā
tumhārā ajnabī tumhāre shahr meñ
tumhārā kaun thā ki jism-o-jāñ kī tīrgī ke jangaloñ meñ kho gayā
hasīn chamchamātī dhuup meñ
udaas sāhiloñ fasurda vādiyoñ meñ so gayā
tumhaare shahr mein wo pa-barahna ajnabi
tulu'-e-aftab ke liye
shab-e-garan ke raston se
KHamushi ke dasht se guzar gaya
nida-e-muntazir ki chashm-e-KHud-ada mein
subh-dam utar gaya
dariche jab khule
tumhaara shahr raushni mein maujzan tha dur tak
tulu'-e-aftab
rang-o-bu ka karwan liye hue
safina-e-ada-e-nur-e-kaamran liye hue
hasin aanchalon ke lahlahate baadban liye hue
har ek rahguzar pe aise chha gaya
masarraton mohabbaton hasin muskurahaTon ki jannaten luTa gaya
tulu'-e-aftab barg-e-surKH tha
wo ajnabi tumhaare shahr mein wo be-zaban ajnabi
magar fishaar-e-tirgi ki sard KHak zard dhund ka
muhib marg-ashna sa zaiqa
na jaane kyon lab-o-zaban pe jism-o-jaan pe jhelta raha
na jaane kyon wo marg-o-zindagi ke zer-o-bam se khelta raha
tumhaara ajnabi tumhaare shahr mein
agarche ru-ba-ru tha manzar-e-tulu'-e-aftab ke
tumhaara ru-e-zar-nigar
KHub-tar hasin-tar tha garche manzar-e-tulu-e-aftab se
magar tumhaara ru-e-zar-nigar
rauzan-e-dayar-e-did ki hadon se aaj mawara raha
tumhaara ajnabi tumhaare shahr mein
tumhaara kaun tha ki jism-o-jaan ki tirgi ke jangalon mein kho gaya
hasin chamchamati dhup mein
udas sahilon fasurda wadiyon mein so gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.