Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuTe hue pyale

Anjum Saleemi

TuTe hue pyale

Anjum Saleemi

MORE BYAnjum Saleemi

    maiñ ḳhudā ke hāthoñ se gir kar TuuTā huā pyāla huuñ

    (jo apne bikhre hue TukḌoñ ko...

    DhūñDhtā phirtā hai)

    kabhī kabhī (bahut kabhī kabhī)

    koī TukḌā mil kar apnī TuuTī huī jagah se joḌ banātā hai

    to azalī taskīn aur abadī sarshārī ehsās miltā hai

    jaise ki tum!

    haañ payāre! jaise tum milte ho to kuchh aisā lagtā hai

    jaise maiñ thoḌā mukammal ho gayā huuñ

    jaise maiñ phir se apne chaak par aa gayā huuñ

    takmīl is masāfat meñ

    ek savāl buuñd buuñd mujh se ristā hai

    itnī baḌī kā.enāt meñ

    TuuTe hue pyāle ke TukḌe kahāñ kahāñ

    bikhre paḌe haiñ

    kyā ḳhabar, kab ham apne bāqī-māñda TukḌoñ ko sakeñ

    jaane kab hameñ azalī taskīn mil sake

    aur jaane kab ḳhudā pyaas bujhe

    haañ pyāre!

    ham ḳhudā ke hāthoñ se gir ke TuuTe hue

    pyāle haiñ!!!

    main KHuda ke hathon se gir kar TuTa hua pyala hun

    (jo apne bikhre hue TukDon ko

    DhunDhta phirta hai)

    kabhi kabhi (bahut kabhi kabhi)

    koi TukDa mil kar apni TuTi hui jagah se joD banata hai

    to azali taskin aur abadi sarshaari ka ehsas milta hai

    jaise ki tum!

    han payare! jaise tum milte ho to kuchh aisa hi lagta hai

    jaise main thoDa mukammal ho gaya hun

    jaise main phir se apne chaak par aa gaya hun

    takmil ki is masafat mein

    ek sawal bund bund mujh se rista hai

    itni baDi kaenat mein

    TuTe hue pyale ke TukDe kahan kahan

    bikhre paDe hain

    kya KHabar, kab hum apne baqi-manda TukDon ko pa saken

    jaane kab hamein azali taskin mil sake

    aur jaane kab KHuda ki pyas bujhe

    han pyare!

    hum KHuda ke hathon se gir ke TuTe hue

    pyale hain!!!

    Source:

    Aik Qadeem Khayal Ki Nigrani Mein (Pg. 109)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now