udas naslen
maiñ roz-e-avval kī ik kahānī
tumheñ sunā.ūñ to ro paḌoge
maiñ ek musht-e-ġhubār thā jab
jise sameTā gayā thā shāyad
ik aise sahrā.ī sar-zamīñ se
jahāñ pe vahshat utar rahī thī
udāsiyoñ kā 'ajab samāñ thā
us ek musht-e-ġhubār se jab faqīr tajsīm ho rahā thā
aur āb-o-gil ke usī tanāsub meñ ek shai thī jo jazb hotī chalī ga.ī thī
maiñ ik jahān-e-ḳharāb ke biich ban rahā thā
vahāñ kā manzar bhī dekh liije
baġhal meñ vahshat khaḌī huī thī
vahīñ junūñ kā thā raqs jaarī
aur aisī hālat meñ ek shai jo badan ke andar utar chukī thī
na jaane kaisā 'ajab ta'alluq thā us se merā
ki chaah ke bhī maiñ us se dāman chhuḌā na paayā
mujh aise sahrā-navard logoñ ke mas.aloñ ko vo jāntī thī
use pata thā ki hijratoñ meñ inheñ dilāse kī aas hogī bichhaḌ ga.e to kisī sahāre kī vāqa'ī meñ talāsh hogī
jo dukh zamāne ke kachchī 'umroñ se jhelte haiñ
batāo aise meñ kaun hogā jo in ko shāna 'atā karegā
vo kaun hogā jo in ke jazboñ kī kashtiyoñ ko bas ek tinkā dikhā ke phir se bahāv degā
vo kashtiyāñ bhī kuchh is tarah kī jo mauj-e-dariyā meñ Dūbne kī aḳhīr had ko pahuñch chukī hoñ
inhīñ masā.il ko sāmne rakh ke roz-e-avval vo āb-o-gil ke usī tanāsub meñ jazb hotī chalī ga.ī thī
usī udāsī kī hī rifāqat mujh aise āshufta-sar ko zinda kiye hue hai
jo roz-e-avval se is badan kī siyāhiyoñ meñ ghirī huī hai
maiñ hañs paḌūñ to vo mujh meñ jhalke
jo rone lag jā.ūñ mujh se lipTe
inhīñ mukammal udāsiyoñ kī 'ajīb rangat batā rahī hai
ki mere aage kī aane vaalī tamām nasleñ udaas hoñgī
main roz-e-awwal ki ek kahani
tumhein sunaun to ro paDoge
main ek musht-e-ghubar tha jab
jise sameTa gaya tha shayad
ek aise sahrai sar-zamin se
jahan pe wahshat utar rahi thi
udasiyon ka 'ajab saman tha
us ek musht-e-ghubar se jab faqir tajsim ho raha tha
aur aab-o-gil ke usi tanasub mein ek shai thi jo jazb hoti chali gai thi
main ek jahan-e-KHarab ke bich ban raha tha
wahan ka manzar bhi dekh lije
baghal mein wahshat khaDi hui thi
wahin junun ka tha raqs jari
aur aisi haalat mein ek shai jo badan ke andar utar chuki thi
na jaane kaisa 'ajab ta'alluq tha us se mera
ki chah ke bhi main us se daman chhuDa na paya
mujh aise sahra-naward logon ke masalon ko wo jaanti thi
use pata tha ki hijraton mein inhen dilase ki aas hogi bichhaD gae to kisi sahaare ki waqa'i mein talash hogi
jo dukh zamane ke kachchi 'umron se jhelte hain
batao aise mein kaun hoga jo in ko shana 'ata karega
wo kaun hoga jo in ke jazbon ki kashtiyon ko bas ek tinka dikha ke phir se bahaw dega
wo kashtiyan bhi kuchh is tarah ki jo mauj-e-dariya mein Dubne ki aKHir had ko pahunch chuki hon
inhin masail ko samne rakh ke roz-e-awwal wo aab-o-gil ke usi tanasub mein jazb hoti chali gai thi
usi udasi ki hi rifaqat mujh aise aashufta-sar ko zinda kiye hue hai
jo roz-e-awwal se is badan ki siyahiyon mein ghiri hui hai
main hans paDun to wo mujh mein jhalke
jo rone lag jaun mujh se lipTe
inhin mukammal udasiyon ki 'ajib rangat bata rahi hai
ki mere aage ki aane wali tamam naslen udas hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.