uljhaw
jaag thakī bojhal āñkhoñ meñ
sone kā ehsās jagā de
mere jazboñ meñ uljhe
apnī yādoñ ke sab lamhe
aa kar suljhā de
mujh ko batā de
kab tak tere ḳhayāl ke pyāse sahrā ko
apne hī lahū se sīñchūñ maiñ
kab tak ye ḳhud-rau paude gulzār karūñ
kab tak in āñkhoñ ke donoñ pyāloñ meñ
phuul ye bīnā.ī ke sajā.e rakkhūñ maiñ
kab tak chehroñ kī manDī meñ
chup kā maiñ byopār karūñ
Dar hai jazboñ ke na kahīñ ye daam girā de
jaag thakī bojhal āñkhoñ meñ
sone kā ehsās jagā de
yuuñ to nahīñ the tere safar ke saare raste
mub.ham mub.ham
yuuñ to nahīñ thā shāḳh-e-vasl pe phūloñ ke
khilne kā mausam
yuuñ to nahīñ hai
is furqat meñ jaañ se guzar jaane kā 'ālam
yuuñ to na hogā
lamha lamha fart-e-junūñ meñ ‘arsa-e-mātam
ye lamha bhī chhūT na jaa.e
dil se rishta TuuT na jaa.e
dil ko vasl kī aahaT ke andāz batā de
jaag thakī bojhal āñkhoñ meñ
sone kā ehsās jagā de
jag thaki bojhal aankhon mein
sone ka ehsas jaga de
mere jazbon mein uljhe
apni yaadon ke sab lamhe
aa kar suljha de
mujh ko bata de
kab tak tere KHayal ke pyase sahra ko
apne hi lahu se sinchun main
kab tak ye KHud-rau paude gulzar karun
kab tak in aankhon ke donon pyalon mein
phul ye binai ke sajae rakkhun main
kab tak chehron ki manDi mein
chup ka main byopar karun
Dar hai jazbon ke na kahin ye dam gira de
jag thaki bojhal aankhon mein
sone ka ehsas jaga de
yun to nahin the tere safar ke sare raste
mubham mubham
yun to nahin tha shaKH-e-wasl pe phulon ke
khilne ka mausam
yun to nahin hai
is furqat mein jaan se guzar jaane ka 'alam
yun to na hoga
lamha lamha fart-e-junun mein ‘arsa-e-matam
ye lamha bhi chhuT na jae
dil se rishta TuT na jae
dil ko wasl ki aahaT ke andaz bata de
jag thaki bojhal aankhon mein
sone ka ehsas jaga de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.