Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ummid

MORE BYMohammad Haneef Rame

    parsoñ ne kal ko paalā thā

    parvān chaḌhāyā kal ne aaj

    aur aaj kokh se fardā janm le rahā hai

    jaise zamīn ne sūraj se zindagī paa.ī thī

    aur chāñd ko zamīn se rizq pahuñch rahā hai

    sūraj zamīn maazī aur chāñd us mustaqbil hai

    jaise jamādāt se nabātāt se haivānāt ke ba.ad insān paidā ho gayā

    to zindagī safar yahāñ pahuñch kar ruk jā.egā kyā

    kyā nietzsche insān-e-bālā ''ba-qaul-e-zardshut'' ke aurāq meñ dafn ho kar rah jā.egā

    kyā iqbāl shāhīn qasr-e-sultānī ke gumbad meñ baserā kar legā

    kyā qur.ān ke mutābiq insān muntahā ḳhudā nahīñ

    to kyā ham ḳhudā jānib mahv-e-safar haiñ

    aur jab ham ḳhudā tak pahuñch jā.eñge to kyā zindagī safar ḳhatm ho jā.egā

    aur kyā is maqām par vaqt tham jā.egā tārīḳh tamām ho jā.egī

    vahāñ se ek aur jahān shurūa hogā

    ek nayā aalam ek na.ī zindagī

    ek nayā ḳhudā?

    vaise agar ḳhudā ibtidā aur ḳhudā intihā hai

    to kyā ibtidā aur intihā taḳhsīs be-ma.anī nahīñ

    jaise jab dā.era mukammal ho jaa.e to us ibtidā aur intihā donoñ miT jaatī haiñ

    to kyā haqīqat ek kāmil dā.era hai ibtidā aur intihā ke baġhair

    agar aisā hai to harkat kahāñ se aa.ī

    kahīñ ye dā.era phailtā aur sikuḌtā to nahīñ rahtā

    kyā vaqt ruḳh maazī se haal se mustaqbil jānib rahtā hai

    mustaqbil se haal se maazī taraf bhī ho saktā hai

    kyā insān se haivānāt se nabātāt se jamādāt ko lauTnā bhī mumkin hai

    aur kyā ab aisā to nahīñ ho rahā

    zāhir hai insān par ḳhudā rañg to chaḌh nahīñ rahā

    albatta haivānī sifāt ne zarūr ghar kar liyā hai is meñ

    shahr-e-insān se shahr-e-ḳhudā jānib to ham nahīñ rahe

    kahīñ ham qadam-ba-qadam jañgal taraf to nahīñ palaT rahe

    kyā hamārī māzī-parastī hameñ

    haivānāt se nabātāt se jamādāt tak to nahīñ le jā.egī

    kyā ham pīchhe muḌ kar dekhne ke jurm meñ patthar ke ho kar to nahīñ rah jā.eñge

    lekin kahte haiñ ki nā-umīd nahīñ honā chāhiye ki nā-umīdī kufr hai

    āḳhir jamādāt se pahle bhī to kuchh maujūd hogā

    bha.ī, ḳhudā to thā us vaqt bhī

    aur agar ḳhudā hamārā muntahā hai

    to aage baḌh kar na sahī

    pīchhe muḌ kar sahī

    ham use leñge

    bas īmān mazbūt honā chāhiye

    ''fanā'' ''baqā'' aur ''laqā'' manzileñ zarūr ā.eñgī

    ham pur-ummīd haiñ

    parson ne kal ko pala tha

    parwan chaDhaya kal ne aaj

    aur aaj ki kokh se farda janm le raha hai

    jaise zamin ne suraj se zindagi pai thi

    aur chand ko zamin se rizq pahunch raha hai

    suraj zamin ka mazi aur chand us ka mustaqbil hai

    jaise jamadat se nabaatat se haiwanat ke baad insan paida ho gaya

    to zindagi ka safar yahan pahunch kar ruk jaega kya

    kya nietzsche ka insan-e-baala ba-qaul-e-zardshut ke auraq hi mein dafn ho kar rah jaega

    kya iqbaal ka shahin qasr-e-sultani ke gumbad hi mein basera kar lega

    kya quran ke mutabiq insan ka muntaha KHuda nahin

    to kya hum KHuda ki jaanib mahw-e-safar hain

    aur jab hum KHuda tak pahunch jaenge to kya zindagi ka safar KHatm ho jaega

    aur kya is maqam par waqt tham jaega tariKH tamam ho jaegi

    ya wahan se ek aur jahan shurua hoga

    ek naya aalam ek nai zindagi

    ek naya KHuda?

    waise agar KHuda hi ibtida aur KHuda hi intiha hai

    to kya ibtida aur intiha ki taKHsis be-mani nahin

    jaise jab daera mukammal ho jae to us ki ibtida aur intiha donon miT jati hain

    to kya haqiqat ek kaamil daera hai ibtida aur intiha ke baghair

    agar aisa hai to harkat kahan se aai

    kahin ye daera phailta aur sikuDta to nahin rahta

    kya waqt ka ruKH mazi se haal se mustaqbil ki jaanib hi rahta hai

    ya mustaqbil se haal se mazi ki taraf bhi ho sakta hai

    kya insan se haiwanat se nabaatat se jamadat ko lauTna bhi mumkin hai

    aur kya ab aisa hi to nahin ho raha

    zahir hai insan par KHuda ka rang to chaDh nahin raha

    albatta haiwani sifat ne zarur ghar kar liya hai is mein

    shahr-e-insan se shahr-e-KHuda ki jaanib to hum ja nahin rahe

    kahin hum qadam-ba-qadam jangal ki taraf to nahin palaT rahe

    kya hamari mazi-parasti hamein

    haiwanat se nabaatat se jamadat tak to nahin le jaegi

    kya hum pichhe muD kar dekhne ke jurm mein patthar ke ho kar to nahin rah jaenge

    lekin kahte hain ki na-umid nahin hona chahiye ki na-umidi kufr hai

    aaKHir jamadat se pahle bhi to kuchh maujud hoga

    bhai, KHuda to tha us waqt bhi

    aur agar KHuda hi hamara muntaha hai

    to aage baDh kar na sahi

    pichhe muD kar sahi

    hum use pa hi lenge

    bas iman mazbut hona chahiye

    fana baqa aur laqa ki manzilen zarur aaengi

    hum pur-ummid hain

    Source:

    din kaa phool (Pg. 167)

    related content

    Nazm

    ummid ka dipak

    ek raat andheri hai

    Ibn-e-Ummeed
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now