Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wada

MORE BYVinod Kumar Tripathi Bashar

    rakh to baat tirī ab na kabhī bolūñgā

    ab tasavvur meñ kabhī tujh ko na maiñ gholūñgā

    ab na phir paañv kabhī terī taraf jā.eñge

    ab na hāthoñ ke irāde tujhe chhū pā.eñge

    rakh to baat tirī ab na kabhī bolūñgā

    ab na hoñToñ pe bilā-vaj.h hañsī chhā.egī

    ab na chehre pe koī shakl utar pā.egī

    ab na zulfoñ ko tire hāthoñ chāhat hogī

    ab na ḳhvāboñ ko tire aane hasrat hogī

    rakh to baat tirī ab na kabhī bolūñgā

    ab na paimāne meñ tasvīr tirī utregī

    ab na dil se koī nāzuk ḳhushī guzregī

    ab na darvāze dastak pe nazar jā.egī

    ab na naġhmoñ se mire terī mahak jā.egī

    rakh to baat tirī ab na kabhī bolūñgā

    rakh to li baat teri ab na kabhi bolunga

    ab tasawwur mein kabhi tujh ko na main gholunga

    ab na phir panw kabhi teri taraf jaenge

    ab na hathon ke irade tujhe chhu paenge

    rakh to li baat teri ab na kabhi bolunga

    ab na honTon pe bila-wajh hansi chhaegi

    ab na chehre pe koi shakl utar paegi

    ab na zulfon ko tere hathon ki chahat hogi

    ab na KHwabon ko tere aane ki hasrat hogi

    rakh to li baat teri ab na kabhi bolunga

    ab na paimane mein taswir teri utregi

    ab na dil se koi nazuk si KHushi guzregi

    ab na darwaze ki dastak pe nazar jaegi

    ab na naghmon se mere teri mahak jaegi

    rakh to li baat teri ab na kabhi bolunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now