Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wapsi ka safar

Ameeta Parsuram Meeta

wapsi ka safar

Ameeta Parsuram Meeta

MORE BYAmeeta Parsuram Meeta

    merī talāsh mujhe le chalī hai maazī meñ

    tumhīñ batāo maiñ ḳhud ko kahāñ talāsh karūñ

    pighal pighal ke sadā imtihāñ ātish meñ

    vajūd Dhal gayā merā ajiib sāñchoñ meñ

    vo ik vajūd jo rishtoñ meñ kho gayā hai kahīñ

    usī vajūd ko phir se kahāñ talāsh karūñ

    tarāshnā hai nayā ik mujassama phir

    maiñ apne gum-shuda hissoñ ko phir talāsh karūñ

    tumhīñ batāo maiñ ḳhud ko kahāñ talāsh karūñ

    savāl ye hai ki tum se kyoñ muḳhātib huuñ

    chalo batā.ūñ tumheñ kam se kyoñ savāl kiyā

    tumhīñ pe aa ke rukā thā mohabbatoñ safar

    tumhīñ ho āḳhirī pahchān mere hone

    to kyoñ na tum se shurūa ho ye vāpsī safar

    tumhāre pyaar ke badle jo pyaar tum ko diyā

    merī vafāoñ ne jo iḳhtiyār tum ko diyā

    vo iḳhtiyār jo tum ne qafas meñ Dhaal diyā

    usī qafas se rihā.ī hai ibtidā merī

    tumhāre naam kiyā thā jo umr hissa

    ye iltijā hai mirī aaj mujh ko lauTā do

    baḌā kaThin hai merī jaañ ye vāpsī safar

    rihā.ī de ke mujhe aaj mujh se milvā do

    meri talash mujhe le chali hai mazi mein

    tumhin batao main KHud ko kahan talash karun

    pighal pighal ke sada imtihan ki aatish mein

    wajud Dhal gaya mera ajib sanchon mein

    wo ek wajud jo rishton mein kho gaya hai kahin

    usi wajud ko phir se kahan talash karun

    tarashna hai naya ek mujassama ya phir

    main apne gum-shuda hisson ko phir talash karun

    tumhin batao main KHud ko kahan talash karun

    sawal ye hai ki tum se hi kyon muKHatib hun

    chalo bataun tumhein kam se kyon sawal kiya

    tumhin pe aa ke ruka tha mohabbaton ka safar

    tumhin ho aaKHiri pahchan mere hone ki

    to kyon na tum se shurua ho ye wapsi ka safar

    tumhaare pyar ke badle jo pyar tum ko diya

    meri wafaon ne jo iKHtiyar tum ko diya

    wo iKHtiyar jo tum ne qafas mein Dhaal diya

    usi qafas se rihai hai ibtida meri

    tumhaare nam kiya tha jo umr ka hissa

    ye iltija hai meri aaj mujh ko lauTa do

    baDa kaThin hai meri jaan ye wapsi ka safar

    rihai de ke mujhe aaj mujh se milwa do

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now