aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wali

MORE BYMaikash Akbarabadi

    ai dakan sar-zamīñ ai qibla-e-hindostāñ

    tere zarre mehr haiñ terī zamīñ hai āsmāñ

    azmat-e-māzī dil-afroz nazzāra hai

    mashriq-e-tahzīb pākīza gahvāra hai to

    tere har pahlū meñ haiñ ehsās bedāriyāñ

    tere har manzar meñ haiñ jazbāt sarshāriyāñ

    hai ḳhizāñ nā-āshnā tere gulistāñ bahār

    tujh pe hai sāya-fagan dāmān-e-lutf-e-kirdgār

    tere dariyā-e-karam josh gauhar-bez hai

    terī zar-afshāñ zamīñ faiz-e-mardum-ḳhez hai

    jo javāhar ne chamkā.e haiñ apnī ḳhaak se

    un siina bhar diyā hai jalva-e-idrāk se

    vo 'valī' terā ik farzand hai ḳhāk-e-vatan

    jis azmat ne kiyā dehlī meñ āġhāz-e-suḳhan

    ruuh meñ jis ne bharī urdu ke be-jāñ jaam meñ

    kaif-e-ehsās-e-amal hai jis ke har paiġhām meñ

    ik hayāt-e-nau atā jis ne maujūdāt ko

    jis ne ik rūh-e-tāza qalb-e-ehsāsāt ko

    us fazā-e-āb-o-gil ko nuur jis ne kar diyā

    zarre zarre ko jo ab tuur jis ne kar diyā

    soz rañgīniyāñ barsā.eñ jis ne saaz se

    jagmagā uTThe sitāre jis har parvāz se

    jis fayyāzī se har qatra samundar ho gayā

    jis ke naqsh-e-pā se har zarra munavvar ho gayā

    jo nahīñ ham meñ magar ham yaad karte haiñ jise

    dil ke sherisitān meñ ābād karne luuñ jise

    muḳhlisāna yaad meñ jis hai apnā naam bhī

    yād-e-māzī meñ hai mustaqbil ik paiġhām bhī

    ai dakan ki sar-zamin ai qibla-e-hindostan

    tere zarre mehr hain teri zamin hai aasman

    azmat-e-mazi ka dil-afroz nazzara hai tu

    mashriq-e-tahzib ka pakiza gahwara hai to

    tere har pahlu mein hain ehsas ki bedariyan

    tere har manzar mein hain jazbaat ki sarshaariyan

    hai KHizan na-ashna tere gulistan ki bahaar

    tujh pe hai saya-fagan daman-e-lutf-e-kirdgar

    tere dariya-e-karam ka josh gauhar-bez hai

    teri zar-afshan zamin ka faiz-e-mardum-KHez hai

    jo jawahar tu ne chamkae hain apni KHak se

    un ka sina bhar diya hai jalwa-e-idrak se

    wo 'wali' tera hi ek farzand hai KHak-e-watan

    jis ki azmat ne kiya dehli mein aaghaz-e-suKHan

    ruh mein jis ne bhari urdu ke be-jaan jam mein

    kaif-e-ehsas-e-amal hai jis ke har paigham mein

    ek hayat-e-nau ata ki jis ne maujudat ko

    jis ne di ek ruh-e-taza qalb-e-ehsasat ko

    us faza-e-ab-o-gil ko nur jis ne kar diya

    zarre zarre ko jo ab tur jis ne kar diya

    soz ki ranginiyan barsaen jis ne saz se

    jagmaga uTThe sitare jis ki har parwaz se

    jis ki fayyazi se har qatra samundar ho gaya

    jis ke naqsh-e-pa se har zarra munawwar ho gaya

    jo nahin hum mein magar hum yaad karte hain jise

    dil ke sherisitan mein aabaad karne lun jise

    muKHlisana yaad mein jis ki hai apna nam bhi

    yaad-e-mazi mein hai mustaqbil ka ek paigham bhi

    Source:

    Maikhana (Pg. E-252 B-237)

    • Author: Maikash Akbarabadi
      • Edition: 1974
      • Publisher: Vila Academy, Hyderabad
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now