Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wenus

Riyaz Latif

wenus

Riyaz Latif

MORE BYRiyaz Latif

    pahnā ke zanjir-e-ābī banā taab

    ab bhī jakḌe rakhā hai mujhe pāniyoñ ne

    nafas merā paanī mirī ruuh paanī

    mere aks lahar-dar-lahr sat.hoñ meñ sayyāl patvār khole haiñ dar aur darīchoñ tārīḳh ke

    murta.ish murta.ish apnī phailī ragoñ farāvāniyoñ meñ

    bahātā huuñ maiñ naġhma-zan kashtiyoñ ke charāġh

    āsmānoñ ā.īna sar pe liye

    phaḌ.phaḌāte kabūtar das laakh hairat bharī surḳh āñkhoñ meñ chakrā ke girte hue

    sab kalīsā mahal aur qandaq ke sabz aur ālūda mehrāb o gumbad paanī

    ayaañ mere siine sayyāl pahnā.iyoñ meñ

    sehn-tā-sehn fāḳhtāoñ ke shahpar

    tamaddun ke tevar

    havā ke sutūñ-dar-sutūñ saare sayyāh paikar

    ghule haiñ zamānoñ se paanī galiyoñ meñ tājir jahāzoñ ke zarḳhez phere

    magar saarī ārā.ishoñ meñ samā kar

    sarāboñ maujoñ ke ġhaibī thapeḌoñ ne pal pal nikhārā hai bosīda chehre ko mere

    to apne nam aur ḳhvābīda sāyoñ se afsāne kahte hue ab

    musalsal ravānī ke kāñdhoñ pe rahte hue ab

    taġhayyur tūfāñ uThā.ūñ to kyā ho

    tirī aañkh meñ Duub jā.ūñ to kyā ho

    pahna ke zanjir-e-abi bana tab ki

    ab bhi jakDe rakha hai mujhe paniyon ne

    nafas mera pani meri ruh pani

    mere aks ki lahar-dar-lahr sathon mein sayyal patwar khole hain dar aur darichon ki tariKH ke

    murtaish murtaish apni phaili ragon ki farawaniyon mein

    bahata hun main naghma-zan kashtiyon ke charagh

    aasmanon ka aaina sar pe liye

    phaDphaDate kabutar ki das lakh hairat bhari surKH aankhon mein chakra ke girte hue

    sab kalisa mahal aur qandaq ke sabz aur aaluda mehrab o gumbad pani

    ayan mere sine ki sayyal pahnaiyon mein

    sehn-ta-sehn faKHtaon ke shahpar

    tamaddun ke tewar

    hawa ke sutun-dar-sutun sare sayyah paikar

    ghule hain zamanon se pani ki galiyon mein tajir jahazon ke zarKHez phere

    magar sari aaraishon mein sama kar

    sarabon ki maujon ke ghaibi thapeDon ne pal pal nikhaara hai bosida chehre ko mere

    to apne hi nam aur KHwabida sayon se afsane kahte hue ab

    musalsal rawani ke kandhon pe rahte hue ab

    taghayyur ka tufan uThaun to kya ho

    teri aankh mein Dub jaun to kya ho

    RECITATIONS

    Riyaz Latif

    Riyaz Latif,

    Riyaz Latif

    wenus Riyaz Latif

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now