Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wirsa

Qazi Saleem

wirsa

Qazi Saleem

MORE BYQazi Saleem

    Interesting Fact

    (Shab Khun, Illahabad)

    biis sadiyoñ hayūlā ho tum

    biis sadiyoñ pur-asrār hayūlā jis par

    sirf be-dard havāoñ ne zabāñ pherī thī

    ab mirā haath hai aur haath ye zinda harārat shāyad

    tum ko mahsūs ho badle hue mausam tarah

    tum ye samjho ki kisī dhuup ke TukḌe ne tumheñ

    roz tarah se phir chheḌā hai

    thakā-māñda parinda hai jo aa baiThā hai

    is bulandī se na dekho ki mire haath bhī pathrā jaa.eñ

    jhurjhurī le ke ragoñ shāḳheñ

    ek lamhe ke liye jaag uThīñ

    lahlahāne lagīñ jaise phir se

    juḌ ga.ī hoñ vo prāchīn jaḌoñ se apnī

    aap apne meñ utartī huī

    chup-chāp guphāoñ meñ ghane peḌ tale

    khojtā rahtā huuñ batlāo kahāñ kho ga.e

    uñglī ishāra kar

    ulTī phirtī huī chakrī tarah ye duniyā

    band āñkhoñ meñ simaT aatī hai

    roz har sub.h aḳhbār jatātā hai ki is dhartī par

    saare dar band hue

    haath ākāsh ke rātoñ ko na utreñge kabhī

    koī sachchā.ī ke dukh bāñTne vaalā bhī nahīñ

    ġhaar aañkh se dekho mujh ko

    apne kāñdhe pe uThā.e hue betāl laash

    lauT aayā huuñ sambhālo ye virāsat apnī

    maiñ thakā-māñda parinda sahī

    dhaan ke khet meñ bhaj-kāg mānind khaḌe ho tum bhī

    chiḌiyāñ be-vaj.h saham jaatī haiñ aur bhūkī palaT aatī haiñ

    chiḌiyāñ zinda haiñ ki bhaj-kāg

    koī kyā jaane

    bis sadiyon hayula ho tum

    bis sadiyon ka pur-asrar hayula jis par

    sirf be-dard hawaon ne zaban pheri thi

    ab mera hath hai aur hath ki ye zinda hararat shayad

    tum ko mahsus ho badle hue mausam ki tarah

    tum ye samjho ki kisi dhup ke TukDe ne tumhein

    roz ki tarah se phir chheDa hai

    ya thaka-manda parinda hai jo aa baiTha hai

    is bulandi se na dekho ki mere hath bhi pathra jaen

    jhurjhuri le ke ragon ki shaKHen

    ek lamhe ke liye jag uThin

    lahlahane lagin jaise phir se

    juD gai hon wo prachin jaDon se apni

    aap apne mein utarti hui

    chup-chap guphaon mein ghane peD tale

    khojta rahta hun batlao kahan kho gae

    ungli ka ishaara pa kar

    ulTi phirti hui chakri ki tarah ye duniya

    band aankhon mein simaT aati hai

    roz har subh ka aKHbar jatata hai ki is dharti par

    sare dar band hue

    hath aakash ke raaton ko na utrenge kabhi

    koi sachchai ke dukh banTne wala bhi nahin

    ghaar ki aankh se dekho mujh ko

    apne kandhe pe uThae hue betal ki lash

    lauT aaya hun sambhaalo ye wirasat apni

    main thaka-manda parinda hi sahi

    dhan ke khet mein bhaj-kag ki manind khaDe ho tum bhi

    chiDiyan be-wajh saham jati hain aur bhuki hi palaT aati hain

    chiDiyan zinda hain ki bhaj-kag

    koi kya jaane

    Source:

    1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 29)

    • Author: Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: 1972
      • Publisher: P.K. Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now