Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

visal ki tisri samt

Anjum Saleemi

visal ki tisri samt

Anjum Saleemi

MORE BYAnjum Saleemi

    Interesting Fact

    Dedicated to Meeraji

    ma.azarat chāhtā huuñ dost

    maiñ ab intizār nahīñ kartā

    balki ḳhud chal paḌtā huuñ apnī taraf

    ek poshīda chaap ke ta.āqub meñ

    ḳhud se bāhar nikaltā huuñ

    aur apne jaise kisī hujūm hissa ban kar

    apne vajūd par iktifā kartā huuñ

    apnī amiiq raushnī se nayā janm lete hue

    ḳhud bunat meñ bejoḌ hone kāvish

    rā.egāñ nahīñ jaatī

    suno!

    samay ke bhed-bhāo meñ apnā taḳhmīna lagāte hue

    zaat jamā-pūñjī meñ se

    maiñ tumheñ apnī hissiyāt se mustarad nahīñ kartā

    bisāt bhar sabr aur ek muTThī visāl ke evaz

    maiñ tumheñ kashīd kartā huuñ apne atrāf se

    aur gunjā.ish paidā kartā huuñ tumhārī mezbānī ke liye

    kisī aur jihat se apne-āp meñ

    lekin ma.azarat

    maiñ intizār nahīñ kar saktā

    apnī ragoñ meñ bahte hue us dukh ke pighalne

    jo apne bahāv meñ merī tavajjoh bahā le saktā hai

    apne saath

    maiñ tai-shuda guzargāhoñ musāfir nahīñ

    mujhe to har imkān se guzar kar aanā hai tumhārī samt

    aur haañ...

    maiñ to apnā bhī intizār nahīñ kartā huuñ ab!!!

    mazarat chahta hun dost

    main ab intizar nahin karta

    balki KHud chal paDta hun apni taraf

    ek poshida chap ke taaqub mein

    KHud se bahar nikalta hun

    aur apne hi jaise kisi hujum ka hissa ban kar

    apne wajud par iktifa karta hun

    apni amiq raushni se naya janm lete hue

    KHud ki bunat mein bejoD hone ki kawish

    raegan nahin jati

    suno!

    samay ke bhed-bhao mein apna taKHmina lagate hue

    zat ki jama-punji mein se

    main tumhein apni hissiyat se mustarad nahin karta

    bisat bhar sabr aur ek muTThi visal ke ewaz

    main tumhein kashid karta hun apne atraf se

    aur gunjaish paida karta hun tumhaari mezbani ke liye

    kisi aur jihat se apne-ap mein

    lekin mazarat

    main intizar nahin kar sakta

    apni ragon mein bahte hue us dukh ke pighalne ka

    jo apne bahaw mein meri tawajjoh baha le ja sakta hai

    apne sath

    main tai-shuda guzargahon ka musafir nahin

    mujhe to har imkan se guzar kar aana hai tumhaari samt

    aur han

    main to apna bhi intizar nahin karta hun ab!!!

    Source:

    Aik Qadeem Khayal Ki Nigrani Mein (Pg. 71)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now