wo aur main
ajnabī ne merī udāsī kī
vajah mujh se daryāft kī thī
maiñ koī javāb na de sakā
to mujh par yakāyak ye inkishāf huā
ki sivā pūchhne vaalā
koī ajnabī nahīñ thā
mirī rafīq-e-hayāt ne mujh se
ye istifsār kiyā thā
ye ḳhauf mujhe musalsal
ḳhāmosh rakhe hue hai
ki jab afsurdagī kī mauj-e-siyāh
us ko apne halqa-e-zanjīr meñ gher legī
aur sab rāheñ
masdūd ho jā.eñgī
to maiñ kis muñh se
kahūñ tarāshīda mutavāzin mahfiloñ meñ
us se vahī savāl pūchhūñgā
jis kā maiñ ḳhud
koī javāb nahīñ de sakā
ajnabi ne meri udasi ki
wajah mujh se daryaft ki thi
main koi jawab na de saka
to mujh par yakayak ye inkishaf hua
ki siwa puchhne wala
koi ajnabi nahin tha
meri rafiq-e-hayat ne mujh se
ye istifsar kiya tha
ye KHauf mujhe musalsal
KHamosh rakhe hue hai
ki jab afsurdagi ki mauj-e-siyah
us ko apne halqa-e-zanjir mein gher legi
aur sab rahen
masdud ho jaengi
to main kis munh se
kahun tarashida mutawazin mahfilon mein
us se wahi sawal puchhunga
jis ka main KHud
koi jawab nahin de saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.