wo phir aa gaya
mirī jaan lene
vo phir aa gayā hai
maiñ phir aaj us se nabard-āzmā huuñ
mirā siina zaḳhmoñ se chhalnī hai
har dard ne
apnī apnī vafā.eñ nibhā.ī haiñ
dil ruk rahā hai
rageñ thak rahī haiñ
mirā jism
phir sard hone lagā hai
mujhe dekh kar
apne begāne
sab hī guzarte haiñ
lekin
sabhī
apne apne ġhamoñ ke na.e ruup ko dekh kar
chauñkte haiñ
kisī ko ye fursat kahāñ hai
ki Thahre
mujhe dekhe
aur ik nayā ġham ḳharīde
magar kyoñ mirā haal lene
ajab ek sūrat badal kar
vo phir aa gayā hai
ka.ī baar pahle bhī vo aa chukā hai
magar āj-kal
roz aatā hai vo
roz martā huuñ maiñ
meri jaan lene
wo phir aa gaya hai
main phir aaj us se nabard-azma hun
mera sina zaKHmon se chhalni hai
har dard ne
apni apni wafaen nibhai hain
dil ruk raha hai
ragen thak rahi hain
mera jism
phir sard hone laga hai
mujhe dekh kar
apne begane
sab hi guzarte hain
lekin
sabhi
apne apne ghamon ke nae rup ko dekh kar
chaunkte hain
kisi ko ye fursat kahan hai
ki Thahre
mujhe dekhe
aur ek naya gham KHaride
magar kyon mera haal lene
ajab ek surat badal kar
wo phir aa gaya hai
kai bar pahle bhi wo aa chuka hai
magar aaj-kal
roz aata hai wo
roz marta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.