Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo samajhte rahen england ka mal achchha hai

Aaftab Rais Panipati

wo samajhte rahen england ka mal achchha hai

Aaftab Rais Panipati

MORE BYAaftab Rais Panipati

    sarfaroshān-e-vatan ye ḳhayāl achchhā hai

    hind ke vāste marne ma.aal achchhā hai

    jazba-e-hubb-e-vatan ho na agar dil meñ nihāñ

    aise jiine se to marne ḳhayāl achchhā hai

    zarra-e-ḳhāk-e-vatan mehr-e-daraḳhshāñ hai mujhe

    vo samajhte raheñ england maal achchhā hai

    jāñ-ba-lab hai sitam-ījād ke hāthoñ se vatan

    kaun kahtā hai mire hind haal achchhā hai

    un ko paris ke nazāroñ pe fidā hone do

    mujh ko bhārat ke liye rañj-o-malāl achchhā hai

    karne detā nahīñ jallād zabāñ se uf tak

    dil meñ kahtā hai ġharīboñ savāl achchhā hai

    lājpat-rā.e shamshān se aatī hai sadā

    mulk raah meñ miTne ḳhayāl achchhā hai

    apne matlab ke liye mulk dushman jo bane

    aise kambaḳht duniyā meñ zavāl achchhā hai

    zar ke thāloñ meñ mutton chaap uḌāne do unheñ

    ham ġharīboñ ko magar jām-e-sifāl achchhā hai

    'āftāb' aaj phañsā jaatā hai phir tā.ir-e-dil

    haa.e afsos ki sayyād jaal achchhā hai

    sarfaroshan-e-watan ka ye KHayal achchha hai

    hind ke waste marne ka maal achchha hai

    jazba-e-hubb-e-watan ho na agar dil mein nihan

    aise jine se to marne ka KHayal achchha hai

    zarra-e-KHak-e-watan mehr-e-daraKHshan hai mujhe

    wo samajhte rahen england ka mal achchha hai

    jaan-ba-lab hai sitam-ijad ke hathon se watan

    kaun kahta hai mere hind ka haal achchha hai

    un ko paris ke nazaron pe fida hone do

    mujh ko bhaarat ke liye ranj-o-malal achchha hai

    karne deta nahin jallad zaban se uf tak

    dil mein kahta hai gharibon ka sawal achchha hai

    lajpat-rae ki shamshan se aati hai sada

    mulk ki rah mein miTne ka KHayal achchha hai

    apne matlab ke liye mulk ka dushman jo bane

    aise kambaKHt ka duniya mein zawal achchha hai

    zar ke thaalon mein mutton chap uDane do unhen

    hum gharibon ko magar jam-e-sifal achchha hai

    'aftab' aaj phansa jata hai phir tair-e-dil

    hae afsos ki sayyaad ka jal achchha hai

    Source:

    Aaftab-e-Watan (Pg. 68)

    • Author: Aaftab Rais Panipati
      • Year of Publication: 1931
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now