aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad-e-ahbab

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    ai dosto batāo kis haal meñ ho ab tum

    hoñToñ pe kyoñ nahīñ hai vo shoḳhī-e-tabassum

    āvāz meñ nahīñ hai kyoñ naġhma-e-tarannum

    kyā ho ga.ī batāo vo tāqat-e-takallum

    nārāz kis liye ho ḳhāmosh kis liye ho

    ahbāb-e-bā-vafā se rū-posh kis liye ho

    ahbāb mehr-gustar as.hāb rūh-parvar

    dīdār kab tumhārā hogā hameñ mayassar

    kis roz ab miloge ik din karo muqarrar

    kuchh uzr ho to aa.eñ ham ḳhud tumhāre ghar par

    pahlū meñ tum nahīñ ho dushvār zindagī hai

    qaabū meñ tum nahīñ ho be-kār zindagī hai

    ai inqalāb-e-duniyā ai gardish-e-zamāna

    ai rozgār-e-fānī sun to mirā fasāna

    kartā huuñ maiñ shikāyat ye tujh se dostāna

    rakhtā na thā jahāñ meñ maiñ shaukat-e-shahāna

    ik rind-e-pārsā thā ik mard-e-bā-ḳhudā thā

    mahfil meñ dostī ik yār-e-bā-vafā thā

    ne varaq ko ulTā vo daur ne palTā

    āñkhoñ meñ merī ab tak phirtā hai sab vo naqsha

    bhar ke vo tamāshā do din bhī na dekhā

    kyā ho ga.e vo charche kyā ho ga.ī vo duniyā

    vo ham-nafas kahāñ haiñ vo ham-nashīñ kahāñ haiñ

    vo ahl-e-dil kahāñ haiñ vo mah-jabīñ kahāñ haiñ

    ai dosto batao kis haal mein ho ab tum

    honTon pe kyon nahin hai wo shoKHi-e-tabassum

    aawaz mein nahin hai kyon naghma-e-tarannum

    kya ho gai batao wo taqat-e-takallum

    naraaz kis liye ho KHamosh kis liye ho

    ahbab-e-ba-wafa se ru-posh kis liye ho

    ahbab mehr-gustar ashab ruh-parwar

    didar kab tumhaara hoga hamein mayassar

    kis roz ab miloge ek din karo muqarrar

    kuchh uzr ho to aaen hum KHud tumhaare ghar par

    pahlu mein tum nahin ho dushwar zindagi hai

    qabu mein tum nahin ho be-kar zindagi hai

    ai inqalab-e-duniya ai gardish-e-zamana

    ai rozgar-e-fani sun to mera fasana

    karta hun main shikayat ye tujh se dostana

    rakhta na tha jahan mein main shaukat-e-shahana

    ek rind-e-parsa tha ek mard-e-ba-KHuda tha

    mahfil mein dosti ki ek yar-e-ba-wafa tha

    tu ne waraq ko ulTa wo daur tu ne palTa

    aankhon mein meri ab tak phirta hai sab wo naqsha

    ji bhar ke wo tamasha do din bhi tu na dekha

    kya ho gae wo charche kya ho gai wo duniya

    wo ham-nafas kahan hain wo ham-nashin kahan hain

    wo ahl-e-dil kahan hain wo mah-jabin kahan hain

    Source:

    (Pg. 78)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now