yaad ke tohfe
mehrbānī pe tirī yaad kī qurbāñ jā.ūñ
yād-e-jānāñ kā koī vaqt muqarrar to nahīñ hai lekin
bārhā dil ke fusūñ-ḳhāne meñ
shaam ke baa'd tirī yaad aa.ī
shaam is yaad kī sauġhāt ke saath ai hamdam
ba-sad-īsār-o-ḳhulūs aur bhī tohfe laa.ī
dard-e-dil laa.ī
ki dil sūrat-e-sīmāb machal kar dikhlā.e
ḳhauf-e-jāñ laa.ī
ki jaañ tan ke darīchoñ ko hilā kar rakh de
bā'd-azāñ
soz-e-nihāñ vahshat-e-jāñ ashk-e-ravāñ bhī laa.ī
aur phir surḳhī-e-ḳhūñ meñ Duubā
lauh-e-hastī liye ek nishāñ bhī laa.ī
mehrbānī pe tirī yaad kī qurbāñ jā.ūñ
mehrbani pe teri yaad ki qurban jaun
yaad-e-jaanan ka koi waqt muqarrar to nahin hai lekin
barha dil ke fusun-KHane mein
sham ke ba'd teri yaad aai
sham is yaad ki saughat ke sath ai hamdam
ba-sad-isar-o-KHulus aur bhi tohfe lai
dard-e-dil lai
ki dil surat-e-simab machal kar dikhlae
KHauf-e-jaan lai
ki jaan tan ke darichon ko hila kar rakh de
ba'd-azan
soz-e-nihan wahshat-e-jaan ashk-e-rawan bhi lai
aur phir surKHi-e-KHun mein Duba
lauh-e-hasti liye ek nishan bhi lai
mehrbani pe teri yaad ki qurban jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.