Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad

MORE BYZia Fatehabadi

    vo naġhme vo manāzir vo bahāreñ yaad haiñ mujh ko

    yahī vo naqsh haiñ jo miT nahīñ sakte miTāne se

    vo rāteñ aur vo sāvan phuvāreñ yaad haiñ mujh ko

    yahī afsāne aksar kahtā rahtā huuñ zamāne se

    vo terā muskurā kar chāñd ko tābindagī denā

    sharāb-e-ishq se maḳhmūr ho jaanā fazāoñ

    vo terī mast āñkhoñ naved-e-zindagī denā

    vo aksar khelnā zulf-e-pareshāñ se havāoñ

    mirā dil ho gayā hai gardish-e-ayyām se vāqif

    buland-o-past aalam phir rahe haiñ merī āñkhoñ meñ

    mazāq-e-dil-barī hai ishq ke paiġhām se vāqif

    tasavvur hai mirā khoyā huā terī āñkhoñ meñ

    mujh se duur hai lekin tujhe maiñ yaad kartā huuñ

    na jab fariyād kartā thā na ab fariyād kartā huuñ

    wo naghme wo manazir wo bahaaren yaad hain mujh ko

    yahi wo naqsh hain jo miT nahin sakte miTane se

    wo raaten aur wo sawan ki phuwaren yaad hain mujh ko

    yahi afsane aksar kahta rahta hun zamane se

    wo tera muskura kar chand ko tabindagi dena

    sharab-e-ishq se maKHmur ho jaana fazaon ka

    wo teri mast aankhon ka nawed-e-zindagi dena

    wo aksar khelna zulf-e-pareshan se hawaon ka

    mera dil ho gaya hai gardish-e-ayyam se waqif

    buland-o-past aalam phir rahe hain meri aankhon mein

    mazaq-e-dil-bari hai ishq ke paigham se waqif

    tasawwur hai mera khoya hua sa teri aankhon mein

    tu mujh se dur hai lekin tujhe main yaad karta hun

    na jab fariyaad karta tha na ab fariyaad karta hun

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 221)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now