Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye dharti KHub-surat hai

Salam Machhli shahri

ye dharti KHub-surat hai

Salam Machhli shahri

MORE BYSalam Machhli shahri

    nahīñ fārūqī! is dhartī ko maiñ hargiz na chhoḌūñgā

    mujhe jis daur ne paalā hai, vo be-shak purānā hai

    mujhe mahbūb ab bhī ahd-e-rafta fasāna hai

    magar ye daur-e-nau

    ye zau

    shuā-e-āgahī rau

    maiñ itnī ḳhūb-sūrat zindagī se muñh na moḌūñgā

    ajal bar-haq sahī lekin

    rahegā jab talak mumkin

    maiñ chāhūñgā ki lipTā rahūñ dhartī ke dāman se

    ye dhartī āsmānoñ se ziyāda ḳhūb-sūrat hai

    ye mahbūba hai

    is meñ maañ shafqat bhī azmat hai

    zabardastī jo maut aa.ī

    (vo aatī hai aur ā.egī)

    to maiñ koshish karūñgā to shāḳh-hā-e-lāla-o-gul ko

    jakaḌ luuñ apne hāthoñ se

    gulāboñ se kahūñgā tum abhī mujh ko na jaane do

    agar haarā to is duniyā saarī dilkashī le kar

    zamīñ god meñ ek gahrī niiñd so lūñgā

    maiñ mahbūba nahīñ maañ se kahūñgā phir jagā denā

    baḌā ziddī bālak huuñ

    maiñ terī god se ḳhud shola-e-gul ban ke ubharūñgā!

    ajab aalam thā

    aur maiñ āsmāñ se saḳht barham thā

    ḳhudā ko gāliyoñ par gāliyāñ dene meñ khoyā thā

    ki munnī ne kahā ''dekho ḳhudā ne mujh ko bhejā hai''

    magar is vaqt munnī bhī mujhe manhūs lagtī thī

    mahīne guzre fārūqī!

    magar ab sochtā huuñ maiñ

    koī maane na maane ik ḳhudā hai naam jo bhī ho!

    na umr-e-ishq baaqī hai

    na mai-ḳhāna na paimāna

    na nazroñ meñ

    kisī shahnāz-e-lāla-ruḳh kāshāna

    to kyā hamd o salām o na.at likkhūñ ye nahīñ mumkin

    to masjid karūñ ābād kuchh karnā zarūrī hai

    ḳhudā bhī mujh ko kāhil ke phir barham na ho jaa.e

    magar fārūqī! duniyā aaj behad ḳhūb-sūrat hai

    ba-īñ umr-e-tābī.ī mujh ko bhī us zarūrat hai

    ḳhudā fankār hai vo bhī yaqīnan chāhtā hogā

    ki dekhe us san.at se kise kitnī mohabbat hai

    agar maiñ is zamīñ aur is ra.anā.ī ko apnā luuñ

    to merā dil ye kahtā hai ki ye bhī ik ibādat hai

    abhī ye sochtā huuñ kal ḳhudā jaane kyā sochūñ

    musalsal sochte rahnā mirī bachpan aadat hai

    divālī aur sub.h-e-īd fārūqī! mubārak ho

    mujhe chhoḌo meñ jis aalam meñ huuñ vo merī qismat hai!!

    nahin faruqi! is dharti ko main hargiz na chhoDunga

    mujhe jis daur ne pala hai, wo be-shak purana hai

    mujhe mahbub ab bhi ahd-e-rafta ka fasana hai

    magar ye daur-e-nau

    ye zau

    shua-e-agahi ki rau

    main itni KHub-surat zindagi se munh na moDunga

    ajal bar-haq sahi lekin

    rahega jab talak mumkin

    main chahunga ki lipTa hi rahun dharti ke daman se

    ye dharti aasmanon se ziyaada KHub-surat hai

    ye mahbuba hai

    is mein man ki shafqat ki bhi azmat hai

    zabardasti jo maut aai

    (wo aati hai aur aaegi)

    to main koshish karunga to shaKH-ha-e-lala-o-gul ko

    jakaD lun apne hathon se

    gulabon se kahunga tum abhi mujh ko na jaane do

    agar haara to is duniya ki sari dilkashi le kar

    zamin ki god hi mein ek gahri nind so lunga

    main mahbuba nahin man se kahunga phir jaga dena

    baDa ziddi sa baalak hun

    main teri god se KHud shola-e-gul ban ke ubharunga!

    ajab aalam tha

    aur main aasman se saKHt barham tha

    KHuda ko galiyon par galiyan dene mein khoya tha

    ki munni ne kaha dekho KHuda ne mujh ko bheja hai

    magar is waqt munni bhi mujhe manhus lagti thi

    mahine guzre faruqi!

    magar ab sochta hun main

    koi mane na mane ek KHuda hai nam jo bhi ho!

    na umr-e-ishq baqi hai

    na mai-KHana na paimana

    na nazron mein

    kisi shahnaz-e-lala-ruKH ka kashana

    to kya hamd o salam o nat likkhun ye nahin mumkin

    to masjid hi karun aabaad kuchh karna zaruri hai

    KHuda bhi mujh ko kahil pa ke phir barham na ho jae

    magar faruqi! duniya aaj behad KHub-surat hai

    ba-in umr-e-tabii mujh ko bhi us ki zarurat hai

    KHuda fankar hai wo bhi yaqinan chahta hoga

    ki dekhe us ki sanat se kise kitni mohabbat hai

    agar main is zamin aur is ki ranai ko apna lun

    to mera dil ye kahta hai ki ye bhi ek ibaadat hai

    abhi ye sochta hun kal KHuda hi jaane kya sochun

    musalsal sochte rahna meri bachpan ki aadat hai

    diwali aur subh-e-id faruqi! mubarak ho

    mujhe chhoDo mein jis aalam mein hun wo meri qismat hai!!

    Source:

    aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 163)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now