zakir-husain
terī fitrat meñ hai 'gobind' kā āsār magar
'ibn-e-mariyam' kā muqallid tirā kirdār magar
raam aur kirshn ke jīvan se tujhe pyaar magar
bāda-e-hubb-e-mohammad se bhī sarshār magar
sikh na īsā.ī na hindū na musalmān hai tū
terā īmān ye kahtā hai ki insān hai tū
hinduoñ se tujhe lenā hai zehānat kā kamāl
aur sikkhoñ se shujā.at ki na ho jis kī misāl
ahl-e-islām se lenā hai ibādat kā jalāl
aur issā.iyoñ se sabr lagan aur istiqlāl
in anāsir ko mohabbat se milānā hogā
kishvar-e-hind kā insān banānā hogā
man ke mandir ko munavvar kare nūr-e-islām
ka.aba-e-dil meñ rahe shām-o-sahar raam kā naam
kabhī gañgā kabhī kausar se mileñ jaam pe jaam
yuuñ baneñ shīr-o-shakar terī hukūmat meñ avaam
raam ho aur rahīm aur na hone paa.e
ab koī bachcha yatīm aur na hone paa.e
tujh se ummīd ye hai ki mulk meñ iflās na ho
tañg-dastī na aa.e kahīñ yaas na ho
alam-o-ranj kā dukh-dard kā ehsās na ho
aur ta.assub kī kisī qaum meñ bū-bās na ho
unsur-e-amn shikan ko tah-o-bālā kar de
to jo aayā hai to duniyā meñ ujālā kar de
teri fitrat mein hai 'gobind' ka aasar magar
'ibn-e-mariyam' ka muqallid tera kirdar magar
ram aur kirshn ke jiwan se tujhe pyar magar
baada-e-hubb-e-mohammad se bhi sarshaar magar
sikh na isai na hindu na musalman hai tu
tera iman ye kahta hai ki insan hai tu
hinduon se tujhe lena hai zehanat ka kamal
aur sikkhon se shujaat ki na ho jis ki misal
ahl-e-islam se lena hai ibaadat ka jalal
aur issaiyon se sabr lagan aur istiqlal
in anasir ko mohabbat se milana hoga
kishwar-e-hind ka insan banana hoga
man ke mandir ko munawwar kare nur-e-islam
kaba-e-dil mein rahe sham-o-sahar ram ka nam
kabhi ganga kabhi kausar se milen jam pe jam
yun banen shir-o-shakar teri hukumat mein awam
ram ho aur rahim aur na hone pae
ab koi bachcha yatim aur na hone pae
tujh se ummid ye hai ki mulk mein iflas na ho
tang-dasti na aae kahin yas na ho
alam-o-ranj ka dukh-dard ka ehsas na ho
aur tassub ki kisi qaum mein bu-bas na ho
unsur-e-amn shikan ko tah-o-baala kar de
to jo aaya hai to duniya mein ujala kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.