aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaban jis ko har ek bole usi ka nam hai urdu

Majid-ul-Baqri

zaban jis ko har ek bole usi ka nam hai urdu

Majid-ul-Baqri

MORE BYMajid-ul-Baqri

    zabāñ jis ko har ik bole usī naam hai urdu

    zabān-e-sher meñ fitrat ik in.aam hai urdu

    sabhī is ko samajhte haiñ sabhī meñ aam hai urdu

    zabāñ koī bhī ho har ek anjām hai urdu

    ga.e vo din ki jab kuchh log is ko samajhte the

    zabānoñ meñ ubhar aa.ī hai tasht-az-bām hai urdu

    kahīñ hai ibtidā is kahīñ hai intihā maz.har

    kahīñ āġhāz hai urdu kahīñ anjām hai urdu

    ye bā-aḳhlāq qaumoñ meñ sirishta hai uḳhuvvat

    sulūk-e-ġhair se bhī aaj ḳhush-anjām hai urdu

    muraqqa.a hai hasīñ tahrīk-e-afsānī ke ḳhākoñ

    mukammal ijtimā-e-gauhar-ayyām hai urdu

    urūs-e-zindagī tāb-o-zīnat jis zabāñ se hai

    usī ḳhush-kām fitrat achhūtā naam hai urdu

    dayār-e-pāk hindostāñ donoñ vatan is ke

    zabāñ har ek jis meñ qaid hai vo daam hai urdu

    zarā Thes se bhī shīsha-e-dil TuuT jaatā hai

    bahut nāzuk magar az-qism istihkām hai urdu

    ba-har-unvāñ yahī ik peshvā-e-husn-o-ḳhūbī hai

    ġhalat hai asia meñ morid-e-ilzām hai urdu

    mamālik-ġhair meñ bhī aaj is ko sab samajhte haiñ

    vatan vāloñ meñ ek tasvīr-e-sad-aqvām hai urdu

    kisī firqe leader ho vo leader ban nahīñ saktā

    na samjhe jab talak jantā meñ kitnī aam hai urdu

    safārat ho cinema ho ki T.v radio sab meñ

    suroñ nashsha hai fikr-o-nazar jaam hai urdu

    isī ko bolne meñ ruuh ko ab hai sukūñ hāsil

    zamāne zabānoñ ke liye paiġhām hai urdu

    musalsal irtaqā-e-ādamiyat is se maz.har hai

    ba-qaid-e-nutq-e-'mājid' rahbar-e-aqvām hai urdu

    zaban jis ko har ek bole usi ka nam hai urdu

    zaban-e-sher mein fitrat ka ek inam hai urdu

    sabhi is ko samajhte hain sabhi mein aam hai urdu

    zaban koi bhi ho har ek ka anjam hai urdu

    gae wo din ki jab kuchh log hi is ko samajhte the

    zabanon mein ubhar aai hai tasht-az-baam hai urdu

    kahin hai ibtida is ki kahin hai intiha mazhar

    kahin aaghaz hai urdu kahin anjam hai urdu

    ye ba-aKHlaq qaumon mein sirishta hai uKHuwwat ka

    suluk-e-ghair se bhi aaj KHush-anjam hai urdu

    muraqqa hai hasin tahrik-e-afsani ke KHakon ka

    mukammal ijtima-e-gauhar-ayyam hai urdu

    urus-e-zindagi ki tab-o-zinat jis zaban se hai

    usi KHush-kaam fitrat ka achhuta nam hai urdu

    dayar-e-pak ya hindostan donon watan is ke

    zaban har ek jis mein qaid hai wo dam hai urdu

    zara si Thes se bhi shisha-e-dil TuT jata hai

    bahut nazuk magar az-qism istihkaam hai urdu

    ba-har-unwan yahi ek peshwa-e-husn-o-KHubi hai

    ghalat hai asia mein morid-e-ilzam hai urdu

    mamalik-ghair mein bhi aaj is ko sab samajhte hain

    watan walon mein ek taswir-e-sad-aqwam hai urdu

    kisi firqe ka leader ho wo leader ban nahin sakta

    na samjhe jab talak janta mein kitni aam hai urdu

    safarat ho cinema ho ki Tw radio sab mein

    suron ka nashsha hai fikr-o-nazar ka jam hai urdu

    isi ko bolne mein ruh ko ab hai sukun hasil

    zamane ki zabanon ke liye paigham hai urdu

    musalsal irtaqa-e-adamiyat is se mazhar hai

    ba-qaid-e-nutq-e-'majid' rahbar-e-aqwam hai urdu

    Source:

    Urdu Ki Kahani Shoara Ki Zabani (Pg. e-88 p-91)

      • Edition: 1975
      • Publisher: Naseem Book Depot, Lucknow
      • Year of Publication: 1975

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now