zamāne
terī āñkhoñ se sabhī rang āñsuoñ kī misl bahte jā rahe haiñ
terī āñkheñ
ek din be-rang hoñgī
terī āñkhoñ meñ ḳhalā bharne lagegā
aur phir kuchh log ham yā ham nahīñ
angār jaisī dikhne vaalī terī āñkhoñ meñ dubāra pattharoñ se aag raushan karne kī koshish kareñge
terī āñkhoñ ko dubāra rang-o-roġhan se bhareñge
aur phir kyā
rang phir bahte raheñge
aur ḳhalā bhartā rahegā
silsila chaltā rahegā
zamane
teri aankhon se sabhi rang aansuon ki misl bahte ja rahe hain
teri aankhen
ek din be-rang hongi
teri aankhon mein KHala bharne lagega
aur phir kuchh log hum ya hum nahin
angar jaisi dikhne wali teri aankhon mein dubara pattharon se aag raushan karne ki koshish karenge
teri aankhon ko dubara rang-o-roghan se bharenge
aur phir kya
rang phir bahte rahenge
aur KHala bharta rahega
silsila chalta rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.