Sher of Abdullah Saqib
kaun suntā hai aap kī āvāz
kyā zarūrat hai be-zabānī kī
kaun sunta hai aap ki aawaz
kya zarurat hai be-zabani ki
ab to mirā shabāb ḳhizāoñ kī nazr hai
ab chashm-e-iltifāt kisī kaam kī nahīñ
ab to mera shabab KHizaon ki nazr hai
ab chashm-e-iltifat kisi kaam ki nahin
abr-e-bahār bād-e-sabā apnī raah leñ
majnūñ ko kā.enāt kisī kaam kī nahīñ
abr-e-bahaar baad-e-saba apni rah len
majnun ko kaenat kisi kaam ki nahin
dast-e-sabā ke haath meñ kyā hai ba-juz havā
ḳhush-kun to is ko merī tabī'at banā.egī
dast-e-saba ke hath mein kya hai ba-juz hawa
KHush-kun to is ko meri tabi'at banaegi
jalte dil ko raam kiyā to yaad aayā
ulTī cigarette raakh huī be-dhyānī meñ
jalte dil ko ram kiya to yaad aaya
ulTi cigarette rakh hui be-dhyani mein