aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1977 | Sialkot, Pakistan
vaqt kī kokh meñ sulagtā sā
merī hastī kā ġham pahelī hai
waqt ki kokh mein sulagta sa
meri hasti ka gham paheli hai
ham to ik til pe hī bas ḳhud ko fanā kar baiThe
aur kitne haiñ jamālāt kahāñ jānte haiñ
hum to ek til pe hi bas KHud ko fana kar baiThe
aur kitne hain jamalat kahan jaante hain
haar ko jiit ke pahlū meñ biThā dete haiñ
aisā karte haiñ chalo haath milā lete haiñ
haar ko jit ke pahlu mein biTha dete hain
aisa karte hain chalo hath mila lete hain
maañg lete haiñ bharose pe ki vo de degā
ham ḳhatā-kār munājāt kahāñ jānte haiñ
mang lete hain bharose pe ki wo de dega
hum KHata-kar munajat kahan jaante hain
zinda logoñ ko nivāloñ sā chabāne vaale
merī mayyat pe bhī ā.eñge ḳhudā ḳhair kare
zinda logon ko niwalon sa chabane wale
meri mayyat pe bhi aaenge KHuda KHair kare
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books