Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Shanas's Photo'

Ahmad Shanas

Jammu, India

Sher of Ahmad Shanas

1.6K
Favorite

SORT BY

jānkārī khel lafzoñ zabāñ shor hai

jo bahut kam jāntā hai vo yahāñ shah-zor hai

jaankari khel lafzon ka zaban ka shor hai

jo bahut kam jaanta hai wo yahan shah-zor hai

phuul bāhar hai ki andar hai mire siine meñ

chāñd raushan hai ki maiñ aap tābinda huuñ

phul bahar hai ki andar hai mere sine mein

chand raushan hai ki main aap hi tabinda hun

ek bachcha zehn se paisa kamāne machine

dūsrā kamzor thā so yarġhamālī ho gayā

ek bachcha zehn se paisa kamane ki machine

dusra kamzor tha so yarghamali ho gaya

lafzoñ dastaras meñ mukammal nahīñ huuñ maiñ

likkhī huī kitāb ke bāhar bhī sun mujhe

lafzon ki dastaras mein mukammal nahin hun main

likkhi hui kitab ke bahar bhi sun mujhe

rafta rafta lafz gūñge ho ga.e

aur gahrī ho ga.iiñ ḳhāmoshiyāñ

rafta rafta lafz gunge ho gae

aur gahri ho gain KHamoshiyan

bahut chhoTā safar thā zindagī

maiñ apne ghar ke andar tak na pahuñchā

bahut chhoTa safar tha zindagi ka

main apne ghar ke andar tak na pahuncha

chāñd meñ darvesh hai jugnū meñ jogī

kaun hai vo aur kis ko khojtā hai

chand mein darwesh hai jugnu mein jogi

kaun hai wo aur kis ko khojta hai

phir is ke ba.ad patthar ho gayā ā.ankhoñ paanī

jab apne ġham meñ rone se kiyā inkār maiñ ne

phir is ke baad patthar ho gaya aaankhon ka pani

jab apne gham mein rone se kiya inkar main ne

bāhar insānoñ se nafrat hai lekin

ghar meñ Dheroñ bachche paidā karte haiñ

bahar insanon se nafrat hai lekin

ghar mein Dheron bachche paida karte hain

vo mere alāva mujhe chāhtā hai

baḌī muḳhtalif hai kahānī sūrat

wo mere alawa mujhe chahta hai

baDi muKHtalif hai kahani ki surat

maiñ ḳhud apne aap se huuñ begāna

bastī ke insān bhī mere jaise haiñ

main KHud apne aap se hun begana sa

basti ke insan bhi mere jaise hain

bas us pahchān yahī hai

aañkh meñ aañsū bharne vaalā

bas us ki pahchan yahi hai

aankh mein aansu bharne wala

nau-javānoñ qabīla us ke pīchhe chal paḌā

jurm kar ke bhāgne vaalā misālī ho gayā

nau-jawanon ka qabila us ke pichhe chal paDa

jurm kar ke bhagne wala misali ho gaya

maiñ baat karne lagā thā ki lafz gūñge hue

luġhat ke dasht meñ kis ko sadā lagā.ūñgā maiñ

main baat karne laga tha ki lafz gunge hue

lughat ke dasht mein kis ko sada lagaunga main

baġhair-e-jism bhī hai jism ehsās zinda

ye ḳhushbū bāñTne vaalī havā.eñ bhī qayāmat

baghair-e-jism bhi hai jism ka ehsas zinda

ye KHushbu banTne wali hawaen bhi qayamat

maiñ us pahchān huuñ vo merī

kyā samjhūñ aur vo samjhā.e kyā kyā

main us ki pahchan hun ya wo meri

kya samjhun aur wo samjhae kya kya

pas-e-ḳhayāl huuñ kitnā zuhūr kitnā huuñ

ḳhabar nahīñ ki abhī ḳhud se duur kitnā huuñ

pas-e-KHayal hun kitna zuhur kitna hun

KHabar nahin ki abhi KHud se dur kitna hun

jism bhūkā hai to hai ruuh bhī pyāsī merī

kaam aisā hai ki din raat kārinda huuñ

jism bhuka hai to hai ruh bhi pyasi meri

kaam aisa hai ki din raat ka karinda hun

ġharq kartā hai na detā hai kināra mujhe

us ne merī zaat meñ kaisā samundar rakh diyā

gharq karta hai na deta hai kinara hi mujhe

us ne meri zat mein kaisa samundar rakh diya

maiñ iktishāf hijrat bahisht se laayā

mirī talāsh meñ merā maqām likkhā thā

main iktishaf ki hijrat bahisht se laya

meri talash mein mera maqam likkha tha

allāh vaalā ek qabīla merī nisbat

aur maiñ apne naam nasab se nā-vāqif huuñ

allah wala ek qabila meri nisbat

aur main apne nam nasab se na-waqif hun

ḳhud ko paayā thā na khoyā maiñ ne

be-karāñ zaat kinārā thā mujhe

KHud ko paya tha na khoya main ne

be-karan zat kinara tha mujhe

maiñ ne bhī bachchoñ ko apnī nisbat se āzād kiyā

vo bhī apne hāthoñ se insān banānā bhuul gayā

main ne bhi bachchon ko apni nisbat se aazad kiya

wo bhi apne hathon se insan banana bhul gaya

lafz jab utrā mirī āñkheñ munavvar ho ga.iiñ

lafz 'ahmad' zindagī se rābte Dor hai

lafz jab utra meri aankhen munawwar ho gain

lafz 'ahmad' zindagi se rabte ki Dor hai

saat qulzum haiñ mire siine meñ

ek qatre se ubhārā thā mujhe

sat qulzum hain mere sine mein

ek qatre se ubhaara tha mujhe

kaun qatre meñ uThātā hai talātum

aur antar-ātmā tak sīñchtā hai

kaun qatre mein uThata hai talatum

aur antar-atma tak sinchta hai

shab-o-roz naḳhl-e-vajūd ko nayā ek barg-e-anā diyā

hameñ inhirāf hausla bhī diyā to misl-e-duā diyā

shab-o-roz naKHl-e-wajud ko naya ek barg-e-ana diya

hamein inhiraf ka hausla bhi diya to misl-e-dua diya

pop dhamāke meñ ham bhaktī DhūñD rahe haiñ

maiDonā ke ḳhatt-o-ḳhāl meñ miirā dekheñ

pop dhamake mein hum bhakti DhunD rahe hain

maiDona ke KHatt-o-KHal mein mera dekhen

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now