aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akhtar Ali Akhtar's Photo'

Akhtar Ali Akhtar

1894 - 1950 | Hyderabad, India

Prominent poet from Hyderabad, a contemporary of Josh who had ongoing contestations with him; known for his long poem 'Qaul-e-Faisal'

Prominent poet from Hyderabad, a contemporary of Josh who had ongoing contestations with him; known for his long poem 'Qaul-e-Faisal'

Sher of Akhtar Ali Akhtar

fareb-e-jalva kahāñ tak ba-rū-e-kār rahe

naqāb uThāo ki kuchh din zarā bahār rahe

fareb-e-jalwa kahan tak ba-ru-e-kar rahe

naqab uThao ki kuchh din zara bahaar rahe

mujhī ko parda-e-hastī meñ de rahā hai fareb

vo husn jis ko kiyā jalva-āfrīñ maiñ ne

mujhi ko parda-e-hasti mein de raha hai fareb

wo husn jis ko kiya jalwa-afrin main ne

chaTak meñ ġhunche vo saut-e-jāñ-fazā to nahīñ

sunī hai pahle bhī āvāz ye kahīñ maiñ ne

chaTak mein ghunche ki wo saut-e-jaan-faza to nahin

suni hai pahle bhi aawaz ye kahin main ne

tum ne har zarre meñ barpā kar diyā tūfān-e-shauq

ik tabassum is qadar jalvoñ tuġhyānī ke saath

tum ne har zarre mein barpa kar diya tufan-e-shauq

ek tabassum is qadar jalwon ki tughyani ke sath

guftugū-e-sūrat-o-ma.anī hai unvān-e-hayāt

khelte haiñ vo mirī fitrat hairānī ke saath

guftugu-e-surat-o-mani hai unwan-e-hayat

khelte hain wo meri fitrat ki hairani ke sath

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now