Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aleem Masroor's Photo'

Aleem Masroor

1926

Sher of Aleem Masroor

bhiiḌ ke ḳhauf se phir ghar taraf lauT aayā

ghar se jab shahr meñ tanhā.ī ke Dar se niklā

bhiD ke KHauf se phir ghar ki taraf lauT aaya

ghar se jab shahr mein tanhai ke Dar se nikla

jaane kyā mahfil-e-parvāna meñ dekhā us ne

phir zabāñ khul na sakī sham.a jo ḳhāmosh huī

jaane kya mahfil-e-parwana mein dekha us ne

phir zaban khul na saki shama jo KHamosh hui

uTh ke us bazm se aa jaanā kuchh āsān na thā

ek dīvār se niklā huuñ jo dar se niklā

uTh ke us bazm se aa jaana kuchh aasan na tha

ek diwar se nikla hun jo dar se nikla

zamāne ko duuñ kyā ki dāman meñ mere

faqat chand aañsū haiñ vo bhī kisī ke

zamane ko dun kya ki daman mein mere

faqat chand aansu hain wo bhi kisi ke

nikle tirī mahfil se to saath na thā koī

shāyad mirī rusvā.ī kuchh duur chalī hogī

nikle teri mahfil se to sath na tha koi

shayad meri ruswai kuchh dur chali hogi

afsāna mohabbat puurā ho to kaise ho

kuchh hai dil-e-qātil tak kuchh hai dil-e-bismil tak

afsana mohabbat ka pura ho to kaise ho

kuchh hai dil-e-qatil tak kuchh hai dil-e-bismil tak

anjām-e-kashākash hogā kuchh dekheñ to tamāshā dīvāne

ḳhaak uḌegī gardūñ par farsh pe taare nikleñge

anjam-e-kashakash hoga kuchh dekhen to tamasha diwane

ya KHak uDegi gardun par ya farsh pe tare niklenge

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now