Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Amaan Ali Khan's Photo'

Amaan Ali Khan

1992

Amaan Ali Khan

Ghazal 9

Sher-o-Shayari 12

ḳhush-nasībī hai tumhārī sar pe hai jo maañ haath

ham yatīmoñ ko pata hai ye du'ā kyā chiiz hai

KHush-nasibi hai tumhaari sar pe hai jo man ka hath

hum yatimon ko pata hai ye du'a kya chiz hai

  • Share this

kuchh der to Dare tirī jādūgarī se ham

phir dekhne lage tujhe sanjīdgī se ham

kuchh der to Dare teri jadugari se hum

phir dekhne lage tujhe sanjidgi se hum

  • Share this

sab yaar sochte the rahegā vahī samāñ

ik maiñ bas bachā huuñ koī sau pachās meñ

sab yar sochte the rahega wahi saman

ek main hi bas bacha hun koi sau pachas mein

  • Share this

saath jab chhoḌ ga.e merā tum ai kūza-gar

ḳhud ko majbūrī meñ phir ḳhud tarāshā maiñ ne

sath jab chhoD gae mera tum ai kuza-gar

KHud ko majburi mein phir KHud hi tarasha main ne

  • Share this

us ne rakkhā thā haath sāhil par

tab se dariyā meñ bhī sharāre haiñ

us ne rakkha tha hath sahil par

tab se dariya mein bhi sharare hain

  • Share this

Recitation

Speak Now