Sher of Ameerul Islam Hashmi
bahut mushkil thā jin ko DhūñDnā make-up ke malbe se
so andāze se un kā bāñkpan likhnā paḌā mujh ko
bahut mushkil tha jin ko DhunDna make-up ke malbe se
so andaze se un ka bankpan likhna paDa mujh ko
chhoḌā hai jab se parda mardā ga.ī hai aurat
radd-o-badal hai kyā kyā ye arz phir karūñgā
chhoDa hai jab se parda marda gai hai aurat
radd-o-badal hai kya kya ye arz phir karunga
basā-auqāt hurmat bhī qalam kī daav par rakh dī
luTeroñ ko muhibbān-e-vatan likhnā paḌā mujh ko
basa-auqat hurmat bhi qalam ki daw par rakh di
luTeron ko muhibban-e-watan likhna paDa mujh ko
mirī majbūriyoñ ne nāzukī kā ḳhuun kar Daalā
har ik gobhī-badan ko gul-badan likhnā paḌā mujh ko
meri majburiyon ne nazuki ka KHun kar Dala
har ek gobhi-badan ko gul-badan likhna paDa mujh ko
arqunnisā kā nusḳha mehrunnisā ne likhā
nusḳhe meñ kyā likhā thā ye arz phir karūñgā
arqunnisa ka nusKHa mehrunnisa ne likha
nusKHe mein kya likha tha ye arz phir karunga
kisī mis se jo nādānī meñ kuchh mistake ho jaa.e
duā karte haiñ nādānī bhī fāl-e-nek ho jaa.e
kisi mis se jo nadani mein kuchh mistake ho jae
dua karte hain nadani bhi fal-e-nek ho jae
ruke jis dam vo dam lene to sadr-e-anjuman bolīñ
hamārī nasl-e-ā.inda bhī ab aane hī vaalī hai
ruke jis dam wo dam lene to sadr-e-anjuman bolin
hamari nasl-e-ainda bhi ab aane hi wali hai
sunā hai mood meñ baara baje vo aatā hai
so us ke mood se pahle khisak ke dekhte haiñ
suna hai mood mein bara baje wo aata hai
so us ke mood se pahle khisak ke dekhte hain
sunā hai us ko bahut se uchakke dekhte haiñ
so ham bhī dāman-e-taqvā jhaTak ke dekhte haiñ
suna hai us ko bahut se uchakke dekhte hain
so hum bhi daman-e-taqwa jhaTak ke dekhte hain
-
Tag : Tanz-o-Mizah