aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anees Ashfaq's Photo'

Anees Ashfaq

1955 | Lucknow, India

Well-known fiction writer, poet and critic; wrote novels in the backdrop of Lucknow’s cultural life

Well-known fiction writer, poet and critic; wrote novels in the backdrop of Lucknow’s cultural life

Sher of Anees Ashfaq

is pe hairāñ haiñ ḳharīdār ki qīmat hai bahut

mere gauhar tab-o-tāb nahīñ dekhte haiñ

is pe hairan hain KHaridar ki qimat hai bahut

mere gauhar ki tab-o-tab nahin dekhte hain

ye ḳhāna hamesha se vīrān hai

kahāñ koī dil ke makāñ meñ rahā

ye KHana hamesha se viran hai

kahan koi dil ke makan mein raha

dekhā hai kisī āhū-e-ḳhush-chashm ko us ne

āñkhoñ meñ bahut us chamak aa.ī huī hai

dekha hai kisi aahu-e-KHush-chashm ko us ne

aankhon mein bahut us ki chamak aai hui hai

kyuuñ nahīñ hote munājātoñ ke ma.anī munkashif

ramz ban jaatā hai kyuuñ harf-e-duā ham se suno

kyun nahin hote munajaton ke mani munkashif

ramz ban jata hai kyun harf-e-dua hum se suno

na mere haath se chhuTnā hai mere neze ko

na tere tiir ko terī kamāñ meñ rahnā hai

na mere hath se chhuTna hai mere neze ko

na tere tir ko teri kaman mein rahna hai

us muTThī meñ javāhir the nazar merī taraf

aur mujhe pairāya-e-arz-e-hunar aatā na thā

us ki muTThi mein jawahir the nazar meri taraf

aur mujhe pairaya-e-arz-e-hunar aata na tha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now