Sher of Ankit Dixit Arz
banāne baiThtā huuñ to terī tasvīr bantī hai
koī panchhī koī titlī koī dariyā banāne par
banane baiThta hun to teri taswir banti hai
koi panchhi koi titli koi dariya banane par
zamāne ne bahut koshish kī tum se duur karne kī
maiñ rishta toḌtā kab huuñ jo aa jā.ūñ nibhāne par
zamane ne bahut koshish ki tum se dur karne ki
main rishta toDta kab hun jo aa jaun nibhane par
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aañkh tak jazbāt mere aa ga.e
muTThiyāñ phir bhī dabā.e rah gayā
aankh tak jazbaat mere aa gae
muTThiyan phir bhi dabae rah gaya
apnā thā jo vo bhī ab anjān huā
ham ko chehra paḌhne kā nuqsān huā
apna tha jo wo bhi ab anjaan hua
hum ko chehra paDhne ka nuqsan hua