Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aqeel Abbas's Photo'

Aqeel Abbas

1994 | Mandi Bahauddin, Pakistan

Sher of Aqeel Abbas

100
Favorite

SORT BY

jaane is vaqt kahāñ phone paḌā ho us

jaane is vaqt vo kis shaḳhs āġhosh meñ ho

jaane is waqt kahan phone paDa ho us ka

jaane is waqt wo kis shaKHs ki aaghosh mein ho

ḳhudā ko ḳhat likhūñgā ḳhud-kushī

likhūñgā maiñ resign kar rahā huuñ

KHuda ko KHat likhunga KHud-kushi ka

likhunga main resign kar raha hun

us āñkhoñ pe mire paas koī she'r nahīñ

ek mazmūn hai mazmūn bhī tafsīlī hai

us ki aankhon pe mere pas koi she'r nahin

ek mazmun hai mazmun bhi tafsili hai

roz kartī hai vo miTTī se lipā.ī lekin

roz dīvār meñ sūrāḳh nikal aatā hai

roz karti hai wo miTTi se lipai lekin

roz diwar mein suraKH nikal aata hai

jin dinoñ 'ishq nahīñ hotā thā

kaale paanī sazā hotī thī

jin dinon 'ishq nahin hota tha

kale pani ki saza hoti thi

badan tabla huā jaatā hai dukh se

tinak dhin-dhin tinak dhin kar rahā huuñ

badan tabla hua jata hai dukh se

tinak dhin-dhin tinak dhin kar raha hun

lams-e-husn-e-'ajīb ḳhvāhish

sar uThātī thī maar maiñ ne

lams-e-husn-e-'ajib ki KHwahish

sar uThati thi mar di main ne

safar nigal ga.e ham ko vagarna ham ne bhī

kahīñ pahuñch ke kisī ko gale lagānā thā

safar nigal gae hum ko wagarna hum ne bhi

kahin pahunch ke kisi ko gale lagana tha

zindagī maiñ tujhe raste se uThā laayā huuñ

kisī aur se Takrā.ī thī aage maiñ thā

zindagi main tujhe raste se uTha laya hun

tu kisi aur se Takrai thi aage main tha

shikam se maañ ke galī se tumhārī duniyā se

jahāñ kahīñ se bhī nikle haiñ rote nikle haiñ

shikam se man ke gali se tumhaari duniya se

jahan kahin se bhi nikle hain rote nikle hain

us ne 'ujlat meñ ġhalat sil pe qadam rakkhā thā

pech khāte hue zīnoñ ne use gher liyā

us ne 'ujlat mein ghalat sil pe qadam rakkha tha

pech khate hue zinon ne use gher liya

aap sabz-nigāhī fusūñ taarī huā

aur manzar ne koī taaza jatan kaat liyā

aap ki sabz-nigahi ka fusun tari hua

aur manzar ne koi taza jatan kat liya

baat karte hue pairoñ taraf dekhtā huuñ

apne mālik tabī'at patā hai mujh ko

baat karte hue pairon ki taraf dekhta hun

apne malik ki tabi'at ka pata hai mujh ko

ye kaun pā.eñche ūñche kiye utartā hai

hamārī aañkh meñ sailāb dekhne ke liye

ye kaun paenche unche kiye utarta hai

hamari aankh mein sailab dekhne ke liye

tīrgī meñ aadmī ko hausla dete hue

har sitāre ko farishta maan lenā chāhiye

tirgi mein aadmi ko hausla dete hue

har sitare ko farishta man lena chahiye

sipah-garī hunar bhī suḳhan-varī bhī ho

maiñ chāhtā huuñ ki lashkar bhī ho parī bhī ho

sipah-gari ka hunar bhi suKHan-wari bhi ho

main chahta hun ki lashkar bhi ho pari bhi ho

ḳhair saarī du'āoñ bhalā ho laḌkī

ek bosa dam-e-ruḳhsat ki girānī nikle

KHair ki sari du'aon ka bhala ho laDki

ek bosa dam-e-ruKHsat ki girani nikle

gale lagā ke ravāna bhī kar sakūñ us ko

palaT ke aa.e to sāzish muḳhbirī bhī ho

gale laga ke rawana bhi kar sakun us ko

palaT ke aae to sazish ki muKHbiri bhi ho

raat vo shāḳh-e-badan mujh pe jhukī jaatī thī

aur phal muñh ko pahuñchtā thā lagā jo bhī thā

raat wo shaKH-e-badan mujh pe jhuki jati thi

aur phal munh ko pahunchta tha laga jo bhi tha

tave par buuñd paḌne 'amal hai

maiñ jis miTTī pe kin-min kar rahā huuñ

tawe par bund paDne ka 'amal hai

main jis miTTi pe kin-min kar raha hun

vaqt farmāñ-ravā-e-dillī hai

aur maiñ bhakt huuñ barelī

waqt farman-rawa-e-dilli hai

aur main bhakt hun bareli ka

do ghaḌī niiñd mohlat hai vo ġham taak meñ hai

jis tarah saañp bachcha koī pā-posh meñ ho

do ghaDi nind ki mohlat hai wo gham tak mein hai

jis tarah sanp ka bachcha koi pa-posh mein ho

ek bosa udhār hai tum par

aur chaa.e bhī tez pattī

ek bosa udhaar hai tum par

aur chae bhi tez patti ki

class-rōm meñ itnā samay nahīñ hotā

ye sāniha tumheñ ghar se banā ke laanā thā

class-room mein itna samay nahin hota

ye saniha tumhein ghar se bana ke lana tha

sukūñ lapeT ke kone meñ pheñk detī hai

ki jaise kaam pe aatī hai khalbalī mujh meñ

sukun lapeT ke kone mein phenk deti hai

ki jaise kaam pe aati hai khalbali mujh mein

bālā-ḳhāne se chīḳh uThtī thī

aur dar band thā havelī

baala-KHane se chiKH uThti thi

aur dar band tha haweli ka

dostoñ ko bhī tah-ba-tah rakh de

jaise rakhtī hai libās apne

doston ko bhi tah-ba-tah rakh de

jaise rakhti hai tu libas apne

dar-e-vajūd pe jaane kis se mil aa.ī

ki chaar pāñch to rahte haiñ aadmī mujh meñ

dar-e-wajud pe jaane tu kis se mil aai

ki chaar panch to rahte hain aadmi mujh mein

vo aa ga.ī to muravvat meñ pesh karnā paḌī

vo chaa.e us nahīñ thī jo us ne thī

wo aa gai to murawwat mein pesh karna paDi

wo chae us ki nahin thi jo us ne pi li thi

paanī pesh-raft ne sūkhā bhagā diyā

bārish ke baa'd ghaas TukḌī lahak uThī

pani ki pesh-raft ne sukha bhaga diya

barish ke ba'd ghas ki TukDi lahak uThi

dariyā ne bhī bhāg-bharī gāgar itnī bhar hai

ab gāgar ke hoñT bhigote jaate haiñ pagDanDī ko

dariya ne bhi bhag-bhari ki gagar itni bhar di hai

ab gagar ke honT bhigote jate hain pagDanDi ko

badan to thā nahīñ aag thī mujassam aag

ham us se milte nahīñ to jale nahīñ hote

badan to tha hi nahin aag thi mujassam aag

hum us se milte nahin to jale nahin hote

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now