Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Asif Saqib

1939

Sher of Asif Saqib

kis darja munāfiq haiñ sab ahl-e-havas 'sāqib'

andar se to patthar haiñ aur lagte haiñ paanī se

kis darja munafiq hain sab ahl-e-hawas 'saqib'

andar se to patthar hain aur lagte hain pani se

sameT le ga.e sab rahmateñ kahāñ mehmān

makān kāTtā phirtā hai mezbānoñ ko

sameT le gae sab rahmaten kahan mehman

makan kaTta phirta hai mezbanon ko

raste anjān ḳhushī hai

manzil an-jānā Dar hai

raste ki anjaan KHushi hai

manzil ka an-jaana Dar hai

qaidī rihā hue the pahan kar na.e libās

ham to qafas se oḌh ke zanjīr chal paḌe

qaidi riha hue the pahan kar nae libas

hum to qafas se oDh ke zanjir chal paDe

siine ke biich 'sāqib' aisā hai marnā jiinā

ik yaad uThī thī ik yaad mar ga.ī hai

sine ke bich 'saqib' aisa hai marna jina

ek yaad ji uThi thi ek yaad mar gai hai

dil maujoñ taḌap merī sadā meñ aa.e

dā.ere karb ke phaile to havā meñ aa.e

dil ki maujon ki taDap meri sada mein aae

daere karb ke phaile to hawa mein aae

lakīr khīñch ke mujh pe vo phir mujhe dekhe

nigār-o-naqsh meñ chehra hai hū-ba-hū merā

lakir khinch ke mujh pe wo phir mujhe dekhe

nigar-o-naqsh mein chehra hai hu-ba-hu mera

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now