Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azhar Abbas's Photo'

Azhar Abbas

Pakistan

Sher of Azhar Abbas

1K
Favorite

SORT BY

hañsī mazāq bāteñ yahīñ pe ḳhatm huiiñ

ab is ke ba.ad kahānī rulāne vaalī hai

hansi mazaq ki baaten yahin pe KHatm huin

ab is ke baad kahani rulane wali hai

kahānī ke badalte hue manzar ko samajh

ḳhuun rote hue kirdār jānib mat dekh

tu kahani ke badalte hue manzar ko samajh

KHun rote hue kirdar ki jaanib mat dekh

jo rukāvaT thī hamārī raah

rāsta niklā usī dīvār se

jo rukawaT thi hamari rah ki

rasta nikla usi diwar se

akelā maiñ nahīñ rahā huuñ bastī se

ye raushnī bhī mire saath jaane vaalī hai

akela main hi nahin ja raha hun basti se

ye raushni bhi mere sath jaane wali hai

apne vīrāne nuqsān nahīñ chāhtā maiñ

ya.anī ab dūsrā insān nahīñ chāhtā maiñ

apne virane ka nuqsan nahin chahta main

yani ab dusra insan nahin chahta main

yuuñ to har ek shaḳhs apnā shor hai

lekin kisī se koī yahāñ boltā nahīñ

yun to har ek shaKHs ka apna hi shor hai

lekin kisi se koi yahan bolta nahin

mujhe bayān kar rahā thā koī shaḳhs

maiñ apnī dāstān DhūñDhtā rahā

mujhe bayan kar raha tha koi shaKHs

main apni dastan DhunDhta raha

haath patthar se ho ga.e mānūs

shauq kūza-garī kyā kiije

hath patthar se ho gae manus

shauq kuza-gari ka kya kije

sunā rahā hai kahānī hameñ makīnoñ

makāñ ke saath ye aadhā jalā huā bistar

suna raha hai kahani hamein makinon ki

makan ke sath ye aadha jala hua bistar

āñsuoñ tarah vajūd mirā

bahtā jaatā hai ābshār ke saath

aansuon ki tarah wajud mera

bahta jata hai aabshaar ke sath

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now